Free Me File Share Kaise Kare

0

Dosto kya aap koi file ,video , audio ,image etc apne friends ke sath share karna chahte hai?. Sawal ye hai ki Free Me File Share Kaise Kare kisi ke sath bhi.

Generally internet user ki need hoti hai ki vo apni file apne kisi friend ya family ke sath share karna chata hai.

Is post me aaj janenge ki kaun kaun se tarike hai jiske jariye aap apni Files ya Data kisi ke sath free me share kar sakte hai.

Sabse pahle mai btana chahunga ki file share karne ke liye multiple website hai jo ki free hai matlab koi charge nhi lagta hai. Aaj is post me kuch important  website ki bare me btane ja rha hu jo large file sharing ke liye jyada use kiya jata hai jiski service achi aur secured hai.

Free Me File Share Kaise Kare

To aaye jaante hai kuch chune gaye important websites ke naam jis se aap assani se free me file sharing kar sakte hai.

  1. DropBox
  2. Google Drive
  3. FilesOverMiles
  4. OneDrive
  5. WeTransfer
  6. DropSend

Internet Connection Ko Enable Disable Kaise Kare

Website For Free File Share

1. DropBox

Dropbox free me file share karne ka sabse achi website hai. Ye ek free cloud service hai jispe aap account create kar sakte hai.

Ye per account 2GB free space provide kartai hai jo ki badi file sharing ke liye sufficient hai. Aap DropBox pe apna aacount create kare aur fir apni file upload kar uski link kisi user ko share kar sakte hai .

2. Google Drive

Maine apne pichle post me be likha hua hai ki Google drive kya hai aur kaise use karte hai. Google Drive Google company ke dwara di gayi ek free cloud service hai . Google pe account banae pe aapko 15GB free space di jaati hai.

Google drive dawara di gayi space jyada badi file sharing ke liye feature provide nhi karta hai but ye ek achi service hai. Aap Google pe apni account bna kar asaani se apni file share kar sakte hai.

3. FilesOverMiles

Files Over Miles bhi free me file share karne ke liye achi websites me se ek hai. FilesOverMiles ko use karne ke liye aapke PC me falsh player install hona chahiye. Aap apne files ke liye secret aur encrypted link generate kar kisi user ko access de sakte hai.

4.  OneDrive

OneDrive bhi ek cloud service hai jiski feature same as DropBox jaisi hai. Ispe free account create kar aap 15GB tak file rakh sakte hai. Apna free accounts create kare fir file upload kar share button pe click kare. Jiske sath file sharing karna chahte hai usse easily share ho jayegi.

5. WeTransfer

WeTransfer ek simple cloud service hai jisse file sharing karne ke liye acha bnaya gya hai. WeTransfer ko 2009 me develop kiya gya tha. Ispe free account create kar aap 2GB tak ki file bhej sakte hai.

6. DropSend

DropSend pe free account create kar apne files ko email ke jariye share kar sakte hai. DropSend free plan me 5 files har mahine bhejne ke liye allow kiya hua hai aur 250MB storage space deta hai.

Upar diye gaye sabhi cloud service ke free plan available hai jispe account create kar aap free me file share karne ka fayda utha sakte hai.

Conclusion:

Is blog post se aapne sikha ki Free me file share kaise kare ke bare me jisse se aap kisi ke sath jaruri files free me share kar payenge.

पिछला लेखGoogle Adsense Account Kaise Banaye
अगला लेखGoogle Chrome Extensions Kya Hai Kaise Install Kare
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here