Har naye Hindi blogger ke mann me blog ki traffic ko lekar kuch pareshaniya hoti hai. Hindi blog traffic ki baat kare to English blog ke apeksha bahut gine hue country se visitors hai. Hindi kuch selected desh ke log hi padhna aur bolna jante hai to jahir si baat hai ki English padhne vale ke tulna me Hindi vale kam hai. Hindi blogger ko traffic ko lekar pareshan hone ki jarurat nahi hai. Aaj mai aapko bataunga ki kaise hindi blogger bhi acha traffic pa sakte hai.
Sabse jyada hindi blog ke reader Bharat se hai lekin fir bhi aapka blog traffic kam hoti hai kyunki apne desh me locality wise bhasha alag hai aur log usi me bolna aur padhna pasand karte hai. South India ke user apne local language me hi har jankari ko padhna chahte hai ya fir Punjab ki baat kare to vaha Punjabi me padha aur bola jata hai lekin agar aap apne blog par Google Translate Tool add kar le to aap apne reader ko unke mann chaha language me blog ko translate kar padh sakte hai.
Aaj ke is article me mai aapko batane vala hu ki kaise aap har local language me padhne vale user ko apne blog par read karne ke liye attract kar sakte hai. Agar aap chahte hai ki India ke har state ke user aapke blog ko padhe to iska upay hai Google translate Tool jo Google company dwara banayi gayi bilkul free service hai.
यह भी पढ़े:
English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare
Google Translate Tool Kya Hai
Google Translate Tool ek web application hai jo Google company dwara di gayi free ki service hai jiska kaam web page ko ek language se dusre language me translate karna hai.
Google Translate Tool Blog Me Kyun Add Kare
Google Translate Tool ko apne website me add karke aap visitors ko uske mann pasand ki bhasha me blog content padhne ki suvidha de sakte hai. Aisa features dene se alag alag local bhasha ke readers aapke blog par padhna shuru karenge aur aapke website ki traffic me ijafa hoga.
Sabse jyada dhyan dene ki baat hai ki agar aap hindi ya hinglish me likhte ya fir kisi anya bhasha me to jaruri hai ki aap usse saral aur sudh bhasa me likhe taki dusre language me uska translation sahi ho sake aur aapke blog readers ko dusri bhasha me translate kar ke padhne me kisi prakar ki pareshani na aaye.
Umeed karta hu ki upar di gayi jankari se ab tak aap jan chuke honge ki Google Translate kya hai aur iska use aapko apne website ya blog me kyun karna chahiye.
To aaye step by step jante hai ki website ya WordPress Blog Me Google Translate Tool Kaise Add Kare.
Step 1:
Sabse pahle Google Translate Tool ki website par jaye .
- Ab aap “Add to your website now” button par click kare.
Step 2:
- Ab aap apne gmail yani Google account se login kare.
Step 3:
- Apne website/blog ka URL dale.
- Apne website content ka language select kare,
- Next button par click kare.
Step 4:
- Ab aapko Tanslation language select karna hai .Agar aap chahte hai aapka blog sabhi language me tranlate ho jaye to aap All languages ko select kare athava kuch language ke liye aap Specific languages option ko chune. Jitne language me aap apne blog ko translate karana chahte hai unko tick kare.
- Display Mode me Inline option ko select kare
- Display mode design me Vertical option select kare.
- Advanced section me sabhi option ko tick kare aur apne Google Analytic Property ID ko diye gaye box me dale.
- Ab aap Get Code button par click kare.
Step 5:
Ab aapke samne ek naya page load hoga aur vha par aapko ek script dikhegi jaisa ki aap niche diye gaye image me dekh sakte hai.
- Ab aapko is code copy karna hai.
Step 6:
Ab apne blog ke admin me login kar dashboard par jaye. Ab apne blog par jaha aap Google Translate Tool ko show karna chahte hai vha copy kiye gaye code ko paste karna hai. Yha par mai WordPress blog ke liye bata raha hun.
- Sabse pahle Appearance par jaye.
- Widgets option par click kare.
- Ab Available Widgets se Custom HTML option par click kare.
- Primary sidebar ya fir jis sidebar me show karna chahte hai usse select kare.
- Ab Add Widget button par click kare. Ab aapke sidebar me custom html widget add ho jayega uspe click kare.
- Apne widget ke liye Title likhe.
- Jo code apne copy kiya tha usse yah paste kar de.
- Ab finally Save button par click kare.
Congratulations ab apke blog me Google Translate Tool successfully add ho chuka hai. Ab aap apne blog ke domain url ko CTRL+F5 shortcut key se refresh kare aur dekhenge ki translate tool sidebar me show ho rahi hai.