Hindi me is tarah ki jankari kam milti hai lekin mai aaj aapke yani ki har newbie(naye) bloggers ke liye ye post likh raha hu. Is post me hum bat karenge ki WordPress Me Apna First Blog Post Kaise Likhte hai. Pahle ke article me maine step by step btaya hua ki WordPress blog kaise setup karte hai.
Jab koi blogger apna WordPress blog setup kar leta hai to uske mann me ye sawal aksar rehta hai ki wo apna first blog post kaise publish kare. Is article ko pura padhne ke baad aapke is sawal ka jawab aapko pata chal jayega. To chaliye jyada samy lagaye bina mai aapko step by step guide karta hu ki kaise aap apne first blog post karenge.
यह भी पढ़े:
Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
WordPress Blog Ya Website Kaise Banaye In Hindi
Steps to Publish Your First Blog Post:
Step 1:
Sabse pahle aap WordPress blog ke admin me login kare.
Visit : yourdomainname.com/wp-amin
Step 2:
- Apna username likhe.
- Apna password likhe.
- Ab aap Login button par click kare.
Step 3.
- Login hone ke baad sabse pahle Posts option par jaye.
- Add New option par click kare.
Step 4.
- “Enter title here” ki jagah apna post title likhe.
- Yaha par post content likhe.
- Content paragraph ki setting option yha select kare.
- Post content me image add kare.
- Post jis category me publish karna chahte hai usse chune.
- Abhi agar post nahi publish karna chahte hai uske liye draft par click kare.
- Post publish karne se pahle dekhne ke liye ki blog par kaise dikh raha hai.
- Sab kuch sahi hone ke baad aap Publish button ar click kare .
Ab aapke blog par aapka first blog post publish ho chuki. Apne blog par jaye aur reload yani CTRL+F5 button daba kar refresh kare aur dekhenge ki aapka first blog post live ho chuki hai.
sir jab me post likhta hu coading aa rha hai to post linkhe me proplem ho rahi hai kya kar
Apne problem ko ache se explain kare. Kaisa code?
Nice article Bro aap ne bahut achi Information share ki hai.