Dosto jaisa ki hum jante hai ki aaj ke samay me WhatsApp ek famous messaging app me se ek hai. Kyun ki Whatsapp me bahut hi attract karne wala features diya hua hai. Whatsapp features me Group Create karne ka bhi Feature bhi maujood hai.
Whatsapp Group Create kar ke us ek Group me aap apne kai Whatsapp Friend ko add kar sakte hai.
Agar apke paas bahut sare Friend hai or sab ko ek bar me message karna chahte hai to bahut time lagta hai. Is liye Group bana kar apne Friend ko add kar sakte hai. Aap is Group ke Group Admin honge aap hi Jisko ko add karenge wahi is Group ka member ban jayega.
Aaj kal lagbhag har Whatsapp User Ke pass Group hota hi hai.
Whatsapp Group ka use office employee, student, khuch khash samudaye ke log bhi karte hai. Kyon ki isse samay ka bachat hota hai. Kyu ki jaise hi aap koi bhi Messages, Audio Videos ek bar Group me Send kare wo message sab ke paas ek baar me hi chala jata hai.
Agar aap padhne wale ho to Group bana kar apne Knowledge ko apne friend se Share kar sakte hai.
Read:
- WhatsApp Update Kaise Kare
- WhatsApp Font Size Kaise Change Kare
- WhatsApp Friend Ko Block or Unblock Kaise Kare
Agar Aap ke sabhi friend apne apne knowledge ko share karenge to umeed hai aap sab ko bahut labh hoga. Bahut se Whatsapp user ko Whatsapp Group create karne nahi aata hai.
To aaiye hum log step by step jante hai ki Whatsapp Group Kaise Bante Hai.
WhatsApp Group Kaise Banaye Hindi Me
Is ke liye niche diye step ko follow kare.
Step 1. Sabse pahle aap apne Mobile me Whatsapp ko Open kare.To upar aapke mobile me right side “3 Dot” honge usko click kare. Aap niche ke pic me dekh sakte hai.
Step 2. 3 Dot click karne ke baad ek New Page open hoga us me “New Group” Ko click kare.
Step 3. Ab aapke samne aapke Whatsapp friend ka Contact List hoga Usme se aapko kis friend ko Group me Add karna h usko Select Kar le or niche ki tarf Green Arrow ko click kare. Niche ke pic me dekh ke aap follow kare.
Step 4. Ab aap apne Group ka Group Subject Type kare. Group Subject ko Group Name kaha jata h. Ab aap phir Group Icon Select kare. Uske baad ab Green Arrow ko click kare.
Ab aap dekhenge ki aapka Whatsapp Group ban kar ready hai.
Sir,I am a big fan of you, I see your post daily and get very good information.