Dosto Jaisa ki Hum sabhi Jante hai Ki Whatsapp ek Popular Messaging Apps me se ek hai. Aaj ke date me hamare mobile ke lagbhag sabhi contact number Whatsapp par available hai in Numbers me se kuchh to bahut hi important hote hai to vahi kuch number aise bhi hote hai jo hame pareshan karte hai.
Jaisa ki hum jante hai ki Whatsapp me Text Message,Photos Audio,Video,Voice Call or
Video Call kar sakte hai. Is liye kuchh log jisko koi kaam nahi hai iska galat fayda utha kar galat messages or call kar ke dusre logo ko pareshan krarne lagte hai.
Read:
WhatsApp Font Size Kaise Change Kare
Khash karke Ladkiyo ko jyada pareshan karte hai to is liye aap agar chahate h ki koi aapko disturb na kare to aap us number ko Block kar sakte h or fir jab chahe Unblock kar sakte hai. Hum kai tarike se kisi bhi number ko Block or Unblock kar sakte hai. Lekin hum aapko step by step photos sahit sabse saral tarika batate hai. Aaiye hum jante hai ki…
WhatsApp Friend Ko Kaise Block Kare?
Step 1. Sabse pahle apne mobile me whatsapp ko open karenge Uske baad jis contect ko block karna h usko open karenge To upar mobile me right side 3 dot h usko click karte h. Niche aap picture me dekh sakte h.
Step 2. Fir usko click karne ke baad ek new page open hoga us me Kai option honge aap ko “MORE” ko Click krna h.aap niche pic dekh kar follow kar sakte h.
Step 3. More click karne ke baad fir ek page open hoga usme “BLOCK” Par click kare.
Step 4. Block par click karne ke baad ek confirmation box open hoga isme BLOCK option par click kare. To is tarah se Aapka Whatsapp contact block ho jata h.
WhatsApp Friend Ko Kaise Unblock Kare?
Dosto jis tarah se hum Whatsapp contact ko block kiye h thik usi tarh se unblock krate h.thora sa chanage karna padta h to aaiye Jante h ki whatsapp friend ko kaise unblock kaise karte h.
Step 1. Sabse pahle apne mobile me whatsapp ko open karenge Uske baad jis contact ko block karna h usko open karenge To upar mobile me right side 3 dot h usko click karte h. Niche aap picture me dekh sakte h.
Step 2. Fir usko click karne ke baad ek new page open hoga us me Kai option honge aap ko “MORE” ko Click krna h.aap niche pic dekh kar follow kar sakte h.
Step 3. More click karne ke baad fir ek page open hoga usme “UNBLOCK” Par click kare.
Fir Unblock par click karne ke baad hum dekhte h ki whatsapp friend unblock ho gya h.