How to Use Instagram on PC
Namskar dosto pichle post me aapne padha ki Instagram kya hai aur is par account kaise banaya jata hai. Agar aapko yaad ho to maine us post me bataya hua hai ki Instagram basically mobile me use karne ke liye banaya gaya hai. Desktop/PC me aap instagram ko open kar login kar sakte hai lekin aapko photo upload karke share karne ka option nhi dikhta hai. Darsal me ye application keval mobile user ko dhyan me rakhte hue banaya gaya hai.
Aaj tak aapne dekha, suna ya padha hoga ki bahut sare dusre website ki madad se aap computer par Instagram ka use kar sakte hai. Ha ye sach lekin mai jo aaj aapko trick bataunga uske baad bina kisi website ya third party software ka use kiye hua aap Instagram ko apne PC par mobile ki tarah chala sakte hai.
Hai na kamal ki baat agar aap Instagram ke sare features ko apne desktop par hi use kar paate hai to. Mai samajh sakta hu ki is baat ko padh kar aap utsahit honge ye janane ke liye ki aisa kaise kar sakte hai.
To chaliye aaj mai aapko batata hu computer par Instagram kaise chalaya jata hai step by step full guide hindi me.
Steps:
- Sabse pahle aap instagram.com website pe jaye.
- Ab login pe click kare aur apna username aur password likhe.
- Login button pe click kare. Login button pe click karte hi aap instagram pe login ho jayenge.
- Ab mouse ka use kar right click kare.
- Inspect pe click kare.
- Ab ek naya section dikhega. Yaha par mobile icon par click kare.
- Ab aapko instagram page ko refresh(press F5) karna hai. Ab aap dekh sakte hai ki instagram ke saare feature load ho gaya hai (bilkul mobile ke jaisa).
- Ab jo naya section open hua tha usse close kar de.
Upar batatye gaye steps ko follow karne ke baad ab aap asaani se Instagram par post share kar sakte hai aur image upload kar apne friends aur family ke sath share kar sakte hai lekin dhyan rakhe ab aap ko page refresh nahi karna hai. Ab aapke computer par Instagram ke saare features maujud hai aur aapka iska istemaal kar sakte hai.
Dosto umeed karta hu aapko ache se pata chal gya hoga ki computer par instagram kaise chalaye ke baare me. Agar aapka koi sawal ya sujhaw ho to jarur comment kare. Hamare dwara di gayi jankari aapko achaa laga to please isse share karna na bhule.