Aaj ke samay me lagbhag sabhi logo ka social network site jaise ki Facebook, Google+ aur Twitter pe account profile hai. Aur ho bhi kyun nhi iski madad se hum apne dosto , family sab se jude rah sakte hai aur baat kar paate hai duniya me kahi se bhi. Inke jariye hum apne jaan pehchan vale logo se hmesha jude reh paate hai. Aaj ke jamane me Facebook pe lagbhag sabhi ke account hote hai lekin twitter par kam hi log account banate hai.
Aaye aaj is post me hum jaanege ki Twitter par account kaise banaye.
Twitter Kya Hai?
Twitter ek Online Social networking site hai jisko use kar aap 140 character ka message sabhi ke saath share kar sakte hai jise “tweets” kaha jata hai. Ispe account hone se aap dusre ke tweet ko padh kar use like kar sakte hai aur khud bhi tweet kar sab ke sath share kar sakte hai.
Twitter Par Account Kaise Banaye?
Step 1:
Sabse Pahle www.twitter.com site pe jaye aur signup button pe click kare.
Step 2:
Ab ek signup form load hoga usko bhare.
- Apna pura naam likhe.
- Mobile No ya fir email id likhe.
- Account ke liye password yha pe likhe.
- Ab signup button pe click kare.
Step 3:
Ab aapko phone add karene ka option milega. Apne account ko secure karne ke liye mobile no dale.
- Apna country ka naam select kare.
- apna phone no ko likhe.
- Ab Next button pe click kare.
- Agar aap apna phone no nhi jodna cahte hai to skip button pe click kare.
Step 4:
Ab aapke mobile pe ek verification code aayega twitter ki taraf se agar aap ne apna mobile no diya hai to.
Code daal kar verify button pe click kare.
Step 5:
Yha pe apne account ke liye username likhe. Username sab ka account alag hota hai. Username se hi aapke twitter account ka profile url banta hai.
- Twitter account ke liye username likhe.
- Next button pe click kare.
- Agar aapn abhi nhi username likhne chahte hai to Skip button pe click kare.
Jaise ki hindiblog4u ka username hai @hindiblog4u islie iska profile url jo banega vo hoga https://twitter.com/hindiblog4u
Step 6:
Ab aapke saamne welcome page aayega Let’s Go par click karte.
Ab aapke ke ssaame interest page open ho kar dikhega. Diye gaye interest me se man chaha select kar continue button pe click kare.
Step 7:
Ab aapke option milega ki aap apne dosto ko find karna chahte hai to gmail account ke jariye kar sakte hai. Agar aap aisa abhi nhi chahte hai to No Thanks button pe click kar sakte hai.
- Aaap jis account se apna contact twitter me jodna chahte hai usse chune . Jaise ki Gmail ya Outlook se.
- Ab aap Import contacts button pe click kare.
- Agar aap contact abhi nhi jodna chahte hai to No thanks button pe click kare.
Step 8:
Ab aapko kuch famous logo ko follow karne ko milega. Follow 50 & continue button pe click kare.
Aaap baad me inhe unfollow bhi kar sakte hai.
Step 9:
Ab aap apne twitter ke liye profile pic upload kare.
Ab aapka Twitter profile puri tarah se ban chuka hai.