Abhi ke samay me har koi smartphone user hai aur internet ka use kar rha hai aise me jab bhi hame train se safar karna hota hai to hum sabse pahle sochte hai ki train me seat available hai ya nahi ye malum kare. Aaj ke is post me AAP janenge ki Train seat availability kaise pata karte hai. Agar AAP train me tickets lene ke Liye sochte hai ya aapka mann banata hai to aise me counter jane se pehle aapko Train seat availability search jarur kar lena chahiye.
To aaye vistaar se jante hai ki train ki seat availability kaise check Kare ke bare me.
Steps.
Step 1.
Sabse pahle aap yaha click kare.
Step 2.
Ab ek web page open hoga use fill karna hota hai.
- Sabse pahle aap train number likhe
- Apne journey ka date chune
- Source station ka code likhe
- Destination station ka code likhe.
- Class chune (jaise ki sleeper, third ac, second ac)
- Quota chune (isme general hi rehne de)
- Get Availability button par click kare.
Step 3.
Ab ek popup open hoga jisme aapko captcha verification karna hota hai.
- Upar diye gaye captcha text ko box me likhe.
- Ab Get Availability button par click kare.
Step 4.
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme seat availability dikhegi.
Ab aapke samne train ki seat availability ka result aa jayega jisse dekh aap confirm kar sakte hai aur aapko pata chal jayega ki us din train me kitne seat available hai ya nahi hai.
Agar Indian railway seat availability se jura koi sawal ya sujhav ho to comment kar bataye.