Aaj ke samay me Facebook ek bahut hi popular aur sab ka chahita social media site hai. Piche kai mahino se facebook se data leak ki khabar aapne suni hogi. Aise me bahut sare facebook user ke mann me ye sawal jarur aata hai ki hamne apne account ko kaise surakshit kar sakte hai.
Agar aap facebook account ko surakshit karenge tabhi koi uska durupyog nahi ka payega.
Aaj ke iss lekh me bataya ja raha kuch steps jisse follow kar aap apne facebook account ko surakshit kar sakte hai.
9 Tips to Keep Facebook Account Secure in Hindi
Strong password Rakhe.
Aap ko sabse jyda apne facebook account ke password par dhyan dene ki jarurat hoti hai.Kam se kam 8-10 character password jarur rakhe kyunki ye ek strong password mana jata hai.
Password rakhte samay ye baat dhyan rakhe ki kabhi bhi aap apna naam,mobile number aur dob ka istemal na kare. Aap apne account ka password strong banane ke liye alpha numeric password rakhe aur usme special character ka bhi use kare jyda achha rahega. Aap online password generator toolka istemal kar sakte hai aur asaani se strong password bana sakte hai.
Sabse jyada jaruri baat ye hai ki aap ek password ka istemal apne har account ke liye na kare.
Har vyakti ko ye koshish karni chahiye ki vo har 6 mahine me apne account ka password badal le ye na sirf facebook ke liye balki jaha bhi koi account banate hai ek samay ke baad aapko password badlate rehna chahiye.
Profile Picture Surakshit Kare
Profile picture aapke account ka sabse main chij hota hai jisse aapki identification ke taur par bhi dekh jata hai. Koi dusra vyakti bhi aapke profile pic laga kar aur naam use kar ke fake facebook account bana sakta hai. Isliye iss chij se apne account ko surakshit karne ke liye Facebook me diye gaye feature “profile picture guard” ka istemal jarur kare.
Facebook Text Delight Animation क्या है और इसे कैसे यूज़ करे
Privacy Settings Badle
Facebook ek bahut bari social media platform hai aise me jab aap is par account banate hai to aapko apne privacy settings ko ek bar dhyan se set karna chahiye. Facebook me ye feature di gayi hui ki bahut had tak aap apni privacy ko maintain kar paye.
aapko kin privacy settings par dena chahiye dhyan
Who can see your future posts ?
Settings me ye option aapko mil jata hai jisse aap apne anusar set kar sakte hai. Aap apne facebook account post ko kisse dikhana chahte hai us anusar option select kar le.
Public/ Friends /Friends of Friends/ Only Me
Who can send you friends request?
Aapko friend request kaun bhej sakta hai ye bhi aap set kar sakte hai. Yha par do option milte hai Everyone ya Friends of Friends jisme se koi ek aap chun sakte hai.
Who can see you Friends List ?
aapka friends list kaun dekh sakta hai aap ya public ya aapke friends.
Account Login Notifications Chalu Kare
Login notification ek bahut hi achha option hai jiska use har ek facebook user ko karna chahiye.Jab bhi koi anaya vyakti aapke facebook account me login karta hai ya aap khud bhi karenge to
Aise me aapke email id par login notification aa jayega jisse aapko asaani se aapke account login ke bare me pata chal jayega. Isliye Login notification ko hamesha on kar ke rakhan jaruri hai.
Facebook Account Ka Password Kaise Change Kare
Secure Browsing Chalu Kare
Facebook account me secure browsing ka feature diya gya hai. Aap apne facebook account me login kar ke security settings me jakar secure browsing ko active kar sakte hai jisse aap kabhi bhi facebook ko chalayenge to vo browser me hmesha https ke sath khulegi.
Kaun Se Device Par Login Hai Dekhe
Facebook account me diye gaye feature ki madad se aap kabhi ye pata kar sakte hai ki aapka account ek smay me kitne device par login hai aur aap logout bhi kar sakte hai. To security ke liye sandeh hone par aap is feature ka istemal kar sakte hai.
Third-party Apps and Login Ko Na Kahe
Trusted apps par hi aap apne facebook account se login karne ki koshish kare. Aksar hum jab koi app ya website par jate hai to vha par login with facebook ka option diya rehta hai lekin aap ko sabhi site par facebook se login karne se bachan chahiye. Aap settings me jakar website aur app pay jayenge to yaha par aapko ek list dikhegi ki aapka facebook account kaha kaha active hai aur ise dekhkar aap yaha se disable kar sakte hai.
Friends Ko Chune Account Lock Hatane Ke Liye
Aap agar baar baar galat password ya username se login karne ki koshish karte hai to aise me aapka facebook account lock ho jata hai. Koi anya vyakti bhi jo aapki email id janta hai vo agar bar bar login ke liye try karge to aise me aapka account lock ho jata hai. To isliye settings me jakar security and login me jaye aur 3 ya 5 friends ko select kare jisse agar aisa kabhi hota hai to asaani se aap account locking hata sake.
Yaha par aap 3 aise dost ko chune jisse par aapko bharosha ho vo aapko ek code aur URL (link) bhejenge jisse ki aap asaani se apne facebook account ko fir se chalu kar payenge.
Two-factor Authentication Chalu Kare
Agar aap apne facebook account ka login puri tarah surakshit karna chahte to aise me aapko two factor authentication ko chalu kar lena chahiye.
Isse chalu karne ke baad se jab bhi aap facebook account login karna chahenge to aapke mobile par facebook ke taraf se ek code aayega us code ka dalana hai sath hi password ka istemal karna hoga tabhi aap login kar payenge.