Agar aap koi webpage content padhte hai aur vo content aapko pasand aa rahi hai to aap usse save kar aage kabhi bhi offline padh sakte hai.
Is article hum aapko batane ja rahe ki kaise aap apne pasand ke webpage ke content ko PDF format me kaise save karte hai.
Agar aap kisi article ko PDF format me save kar lete hai to usse aap kabhi bhi apne Computer me open kar padh sakte hai.
Ye article se khaaskar un students ko kafi madad milegi jo Internet ka use kar computer par study karte hai.
Agar aap koi webpage open kar padhte hai aur vo aapko achaa lag rha hai to aap hmare dwara bataye gaye steps ko follow kar us webpage ke content ko PDF me save kar sakte hai jisse aap kabhi bhi offline apne computer par kabhi padhai kar sakte hai.
Ab steps ke baare me jaan lijiye jisse follow kar aap kisi bhi webpage ke content ko asaani se PDF me save kar sakte hai.
STEPS
Step 1.
Sabse pahle aap apne computer me Google chrome browser open kare.
Step 2.
Ab aap URL address bar me us webpage ko open kare jiska content aapko save karna hai.
Step 3.
- Browser me daye side me diye gaye 3dot icon par click kare.
- Ab options load ho jayenge inme se aap Print option par click kare.
Step 4.
Jaise hi aap Print option par click karenge to webpage content PDF format me preview open ho jayegi.
- Ab sabse pahle Destination me Save as PDF option choose karna hai.
- Ab aap Save button par click karna hai aur vo webpage content aapke computer me PDF format me save ho jayegi.
Ab aapke Computer me webpage content PDF format me save ho chuki hai aur aap kabhi usse offline padh sakte hai.
Agar koi sawal ya sujhav ho to comment kar ke bataaye.