Samay teji se badal raha hai aise me aaj har insaan social media se jud rahe hai . Logo ke liye har din photo kichna aur social media par share karna mano jaise din charya ka ek hissa sa ban gya hai. Aksar log apni smartphone se photo le kar social media khaskar Facebook aur Instagram par share karte hai. Kabhi aisa bhi hota hai ki hum photo share karna chate hai par usse resize karke lekin ye hi chahte hai ki us ki quality khrab na ho. Agar aap bhi apne kiche hue kisi photo ko resize karna chahte hai aur pareshan hai to aapko is post ko jarur padhna chahiye
Aaj image resize karne ka aapke tough kaam ko asan ho jayega hamre dwara bataye gaye steps ko follow karke. Is tarike se minato me aap apne image ko resize kar skate hai.
Image resize karne ke liye aapke PC me Adobe Photoshop install hona chahiye agar abhi tak aapke PC me adobe photoshop install nahi hai to sabse pahle aap isse install kar le.
Steps to Resize an Image in Adobe Photoshop
Step 1.
Sabse pahle Adobe photoshop ko open kare.
Step 2.
- File option par click kare .
- Options me se aap open ko select kare.
Step 3.
- Ab aap apne photo ko jaha save kiya hua hai us location se usse select kare.
- Ab niche diye gaye open button par click kare.
Step 4
- Ab adobe photoshop ke top menu me image par click kare
- aur Image size par click kare
Step 5.
Ab ek new popup open ho jayegi ab yha par photo ko resize karne ke liye option dikhegi.
- Apne jarurat ke hisaab se isse aap change kar le.
- Ab ok button par click kare.
- Ab ek confirmation box open hoga usme Proceed ko click kare.
Ab aapki image dwara select ki gayi image resize ho chuki hai.Ab image ko save kar le.
Dosto umeed karta hu ki ab aap apni koi bhi image asaani se Adobe Photoshop me resize kar sakte hai. Agar is article se juda koi sawal ya sujhav ho to hame comment kar bataye.