Programming Kya Hai

0

Programming language ka use kar ke computer program likhne ke process ko programming kaha jata hai.

Programing ko coding bhi kaha jata hai.

Programming Kya Hai

Computer Program Kya Hai?

Computer Program ek instructions (nirdesh) ka set hota hai ko kisi particular kaam ko Karne Ke Liye likha jata hai.

Computer me koi particular kaam karne ke Liye programming language ka use kar executable computer program likha jata hai. Jab bhi computer me vo kaam fir se karna hota hai to hum us code ko execute kartew hai aur kaam ho jata hai.

Programming Language Kya Hai ?

Jis tarah see manav Hindi, English bhasha ko samajh pata hai usi tarah computer instructions ko samjhta hai Jo ki syntax ke form likha jata hai jisse programming language kehte hai.

Programing language set of rules hota hai jiska istemal computer ko instructions dene ke liye hota hai taki vo kisi specific task ko perform Kar sake.

Instructions dene ka Matlab ki computer ko set of instructions Jo aisi bhasha me likha hota hai ki computer usse samajh sake.

Instructions kuch bhi ho sakta jaise ki

  • Kisi 2 number ka jor nikallana
  • Kisi number ko check karna ki vo prime number hai ya nahi.
  • Kisi year ko leap year check karna
  • Kisi number ka factors nikalna.

Ye sabhi simple instructions hai isi tarike se complex(kathin) instructions bhi Diya jata hai aur kaam ho jata hai.

Coding karne ke liye bahut sare programming language maujud hai jaise ki C, C++, Java,PHP,Perl, Ruby, Python etc

Computer programming ka use software banane ke liye hota hai yani ki aap agar window software, web application ya fir mobile application bnana chahte hai to apko programming ki jankari honi chahiye.

यह भी पढ़े : Http Kya Hai Kaise Kaam Karta Hai.

Sabse Pehle Kaun Sa Programming Language Sikhe? | Kaun se Programming Language Se Shuruaat Kare?

Vaise to bahut sare programming language hai aur inme kisi ek se aap programming sikhne ki Shuruaat kar sakte hai.  

Aap sabse pehle C Programming language Shuruaat Kare aur fir C++.

AAP chahe to kisi Anya programming language se bhi start kar sakte hai bas aapko programming concept ko sikhna hai.

Jab aap sikh lete hai to thora samay dekar kisi any Programming language ko asani se sikh payenge.

Isliye language ke bare me padhe to concept par dhyan de.

Programming Language Kaise Sikhe ?

Programming sikhne ke liye bahut sare resources maujud hai jinki madad se aap programming sikh sakte hai.

Resources kuch is parakar se hai

  • Programming books
  • Online tutorial website
  • Youtube
  • Training institute

Aap in resources me se kisi ko bhi chun sakte hai jo apko sahi lagata hai aur programming sikhna shuru kar sakte hai.

Note: Programming sikhne ka matlab hai practice jitna jyada se jyada practice karenge utna jyada aap samajh payenge aur apko logic lagana ayega. Isliye padhe aur pratidin us se jura program likh kar practice kare.

पिछला लेखवाहन का पंजीकरण विवरण ऑनलाइन नि: शुल्क जांचें
अगला लेखComputer Me Hindi Font Kaise Install Kare
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here