Notepad Kya Hai Kaise Use Kare

0

Notepad Kya Hai ?

Notepad ek simple text editor hota hai jo Microsoft windows ke sabhi version ke sath aata hai.Yeh ek basic text editor hota hai jisse computer user document banane ke liye istemal kar sakte hai. Is program ka use kar ke computer user ek plaintext file create kar sakta hai, open aur edit kar sakta hai aur sath hi read kar sakta hai.

Notepad Kya Hai Kaise Use Kare

Notepad ka use HTML code ya fir other programming language ka code likhne ke liye bhi kiya jata hai. Notepad me aap text ki formatting feature nahi hota hai. Notepad se create hua file ka extension .txt hota hai.

Notepad ko sabse pahle 1983 me banaya gya tha aur isse Microsoft Windows ke sabhi version me 1985 me shamil kiya gaya tha.

NotePad Ka Use Kaise Kare ?

Aap microsoft windows par hamare dwara bayae gaye steps ko follow kar asaani se Notepad ka use kar sakenge.

Shortcut key ka use kar aap asani se apne computer me Notepad ko open kar sakte hai.

Steps:

  1. Windows logo + R key ek sath press kare
  2. notepad type kare aur Ok button par click kare.

ab aapke computer me notepad open ho jayegi aur aap iska use kar sakenge.

Notepad Me Text File Kaise Create Kare ?

Upar bataye gaye steps ko follow kar Notepad ko open kare.

Ab apna text likhe jo likhna chahte hai is file me.

Ab file save karne ke liye upar diye gaye File par click kare aur fir Save option par.

पिछला लेखCPU Kya Hai | What is CPU in Hindi
अगला लेखBest Happy Diwali Wishes in Hindi | दिवाली की शुभकामनाएं 2022
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here