Kya aap apne blog traffic ko boost karna chahte kya aap apne post ko rank karana chahte hai to aise me aapko LSI keywords ke bare me pata hona chahiye.
Aaj ke is lekh me aap jangnege ki LSI keyword kya hai. Traffic boost karne ke liye iska istemal kaise kiya jata hai.
To chaliye vistaar se samjhate hai.
LSI Keywords Kya Hai (LSI Keyword in Hindi)?
LSI ka full form Latent Semantic Index hai. LSI keyword word ya phrase hota hai jo aapke main keyword se related rehta hai.
Aap keh sakte hai ki LSI keyword main keyword ka synonyms ya related word hota hai.
LSI keyword dekhne ke liye aap apne main keyword ko Google me search kare aur fir page ko scroll kar niche dekhe.
Vaha par aapko search related phrases milta hai jo aapke main keyword se jura hoga. Ye sabhi word semantic yani ki LSI keyword hai.
Eg:
Main Keyword :
Blog traffic prapt kare
Ab yaha par blog traffic ka synonyms shabd khojna hai jo kuch is prakar se honge.
Website visitors prapt kare
Site traffic badhaye
Online visitors kaise prapt kare
Blog traffic par generate kaise kare
Blog traffic kaise badhaye etc
ye sabhi LSI keywords hai jinka istemal aap apne post ke subheadings, content aur meta description me use kar sakte hai.
LSI Keywords Vs Long Tail Keyword
Aksar blogger ke mann me ye sawal aata hai ki kya LSI keywords aur long tail keywords same hote hai ?
Nahi
LSI keywords aapke main keyword se related word phrase hote hai jabki long tail keyword aapke main keyword ka lamba version hota hai jo user ke dwara search engine me jyadatar search kiya jata hai.
LSI keywords ko use karne se search engine ko pata chalta hai ki apka content kis topic ke bare me hai vahi long tail keyword ka istemal apke post ko user ke search query ke anusar SERP me lane me help karta hai.
LSI synonyms hota hai jabki long tail keywords keywords ke length(5 words ya fir usse jyada) ko batata hai.
LSI Keywords Use Karne Ke Fayde:
Bound Rate Decrease
Post me LSI keyword ka istemal karne se blog ki bounce rate kam hoti hai jo blog ke liye kafi achha hota hai.
Reduce spamming
Aksar blogger post likhte samay apne main keyword ko hi baar baar istemal karte hai. Main keyword ko jayda istemal karna ya bina jarurat istemal karna post ko spam karna hai.
Main keyword ko jayda use karne se achha hai ki aap LSI keywords ko apne content me use kare. LSI keywords ka istemal karne search engine ko post kis bare me ye asani se pata chalta hai aur isse spam nahi hota hai.
Improve Search Engine Ranking
LSI keywords vo words ya phrase hai jo apke main keyword se related hota hai aur log isse search engine me search karte hai.
Aise me agar aap apne post content me LSI keywords ka istemal karte hai to ye post ko rank karne me madad karta hai.
More Keywords to Target
LSI keywords ko post content me istemal kar aap apne main keyword se related keywords ko asani se target kar sakte hai. Related keyword ke istemal se apka post in keywords ke liye bhi rank karta hai.
LSI Keywords Kaise Find Kare (How to Find LSI Keyword):
Google Search
Google me jab bhi hum koi keyword search karte hai to aise me vo hame auto suggestion deta hai jisme kuch suggestion LSI keywords bhi hota hai.
Is tarah ke keywords ko meta description ya fir anchor aur text ke rup me mahatapurn jagaho pe istemal kar sakte hai. Detail me janane ke liye maine niche image bhi di hai jaha dekh kar aap samajh sakte hai ki google me apne main keyword ko likhte hi kaise LSI keywords milta hai.
Google Keyword Planner
LSI keywords search karne ke liye aap Google keyword planner tools ka bhi istemal kar sakte hai jo ki bahut hi jayda achha hai sath hi ye bilkul free hai.
Iska upyog kar aap aap LSI keywords asani se find kar sakte hai aur apne post me use kar sakte hai. Detail me janane ke liye aap niche diye image ko dekhe yaha par main Google keyword planner ka upyog kar main keyword ko search kiya aur vha se other mahatavpurn keywords mila hai.
LSIGraph
LSIGraph bhi ek free aur bahut hi achha tool hai jisko LSI keywords find karne ke liye banaya gya hai.
Iski madad se LSI keywords kaise find karte hai ye janane ke liye aap niche diye gye image ko dekh sakte hai.
Keywordtool.io
Yeh bhi ek free tool hai jiska upyog kar aap LSI keywords find kar sakte hai. Yeh free aur paid dono aata hai. Free me bhi use kar ke bhi kafi sare LSI keywords find kar sakte hai. Example ke liye niche diye image ko dekh sakte hai.
KeywordShitter
Yeh ek free aur bahut badiya tool hai jisse aap bahut sare LSI keyowords hme mil jate hai. Ye tab tak keywords search karta hai jab tak aap isse stop na kar de.
LSI Keyword Ka Use Kaise Kare
Blog post me LSI keywords ka istemal karna bahut jaruri hai. LSI keyword ka istemal aap heading, meta description aur anchor text ke rup me kar sakte hai.
Aksar keyword ko rank karane ke liye hum bina jarurat bhi usse baar baar article me likhte hai par aisa nahi kara chahiye behtar hai ki aap upar bataye gaye tarike se apne main keyword ka LSI keyword nikale aur usse content me jaha jaruri ho vaha use kare bilkul ek sahi flow me taki spamming na ho.
Agar koi LSI keyword hai aur us par aap pehle se article likh chuke hai to usse apne post me sahi jagah par use kare aur uske link ko add kare.
Is lekh me aapne jana ki LSI keyword kya hai isse blog par jayda traffic kaise la sakte hai. Agar aapko ye jankari achhi lagi to isse apne dosto ke sath share jarur kare. Lekh se jura koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye.