Http Kya Hai

0

Http ka full form Hyper Text Transfer Protocol hota hai. Http ek protocol hota hai jiska istemal web par data transfer karne ke liye hota hai.

Jab bhi client computer aur web server ke bich me communication hota hai vha par http ka use hota hai.

Client computer aur web server ke bich communication ke samay client computer se server ko http request bheja jata hai aur server se se client computer par http response aata hai.

Client aur server ke bich communication hamesha request aur response ke madhyam see hota hai.

Http Kaise Kaam Karta Hai?

Aaye ab jante hai ki http ke madhyam se communication kaise hota hai. Http server-client model ke adhaar pe kaam karti hai.

Http kaise kaam karta hai ye janane se pahle jante hai ki Client aur Server kya hai.

Client : Client ka matlab hota hai hamare computer ka browser jaise ki Google chrome, opera, Mozilla ya safari.

Server : Server ek space hota hai jo ki online set up kiya gya hota hai.

  • Sabse pahle client yani ki browser server ko http request bhejta hai.
  • Server us request ko prapt karta hai.
  • Ab server us request ko process karta hai yani ki request jis kaam ke liye aaya hota hai vo kaam karta hai.
  • Ab Server client (yani ki browser) ko http response bhejta hai.
  • Client (browser) ko http response prapt hota hai aur vha par output dikhta hai.

Jab aap koi website ko Access karte hai to aise me apka browser http request web server ko bhejta hai aur fir web server request ke anusar response code deta hai jiske anusar apke browser me webpage open ho jati hai.

Kuch http status code jinke bare me apko jarur janana chahiye

यह भी पढ़े : Computer Programming Kya Hai

Http Status Code

1xx : 1 se shuru hone wale http status code ka matlab hai request sahi see receive ho gya aur process kiya ja rha hai.

2xx : 2 se a http status code Shuru hota hai iska matlab success hota hai. Ex: 200

Iska matlab hai ki server dwara request ko sahi see samjh liya gya aur accept kar liya gya hai.

3xx : 3 see shuru hone wale http status code ka matlab redirection hota hai.

4xx : 4 se Shuru hone wale status code ka matlab client error hota hai.

5xx : 5 se shuru hone wale http status code ka matlab server error hota hai.

Note : Jab http request bilkul sahi hota hai to status code 200 milta hai jiska Matlab “request is ok” hota hai.

Http data ko bhejne aur pane ke Liye get aur post method ka use karti hai jiska istemal website par form ka data submit karne ke liye hota hai.

Umeed hai ki apko http ke bare kafi kuch janane ko mila hoga. Jankari achhi lagi to isse share jarur kare.

पिछला लेखDomain Authority Check Karne Ke Liye 4 Free Tools [2022]
अगला लेखवाहन का पंजीकरण विवरण ऑनलाइन नि: शुल्क जांचें
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here