Agar aap ke paas website hai to aap ke website aur blog ke liye official email(business email) bahut hi jaruri hota hai.
Is post me aap janenge kaise cpanel ke jariye official email account yani ki business email account banaya jaata hai. Agar aapne apni website ke liye hosting kharidi hai to aap apni official email account asaani se bana sakte hai .
Agar aap ke pass hosting nhi hai to hosting kharid kar aap apne liye business email setup kar sakte hai. Hosting se aap free ma business email bana sakte hai. Yeh aapke dwara kharidi gayi hosting package ke features par nirbhar karta hai ki aap kitne email account bna sakte hai.
Aaye ab businesss email ke baare me detail me jaane.
Official Ya Business Email Kya Hai?
Official email or business email use kahte hai jo aap apne domain name ke saath banate hai. Is mail account me aap koi bhi keyword use kar sakte hai jaise ki info ya contact etc. Yeh ek profession email account hota hai.
eg: info@domainname.com, contact@domainname.in etc.
Official Ya Business Email Kaise Banaye?
Official email ya business email bnane ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
Step 1 : Sabse pehle apne hosting cPanel account me login kare.
Step 2 : Login hone ke baad aap mail section pe jaaye aur vaha pe Email Accounts link pe click kare.
Step 3 : Jis domain nake ke liye email account banan chahte hai use chune. Ab aap jis naam se email banan chahte hai vo likhe jaise ki info, contact,support etc.. . Ab password aur confirm password likhe. Is email account ke liy kitna spaxce chahte hai vo chun le. Ab Create Account button pe click kare.
Ab aapka business email account ban chuka hai. Business email se juri jankari ke liye apna comment likhe.