Hello friends , aaj mai is post ke jariye bataunga ki Godaddy par account kaise bnate hai. Blog bnane ke liye hame domain ki jarurat hoti hai aur Godaddy domain kharidne ke liye world no 1 website hai. Agar aap blog bnane ki soch rahe hai ya fir aap apne blogspot blog ke liye custom domain name lena chah rahe hai to aise me aapko Godaddy account ki jarurat hogi.
Godaddy bahut hi achhi aur purani company hai aur bhut hi badhiya service provide karti hai main khud bhi isi se domain kharida hua hai aap ispe bilkul trust karke apne liye domain kharid sakte hai. Maine apne sare domain Godaddy se kharida hua hai aur abhi tak mujhe kabhi koi problem nhi aayi hai isliye mai godaddy ko recommend karna chahunga aap sabhi ko.
Godaddy Account Banane Ki Kya Jarurat Hai?
Jab aap domain name ya hosting kharidna chahte hai us samay aapko Godaddy par account ki jarurat hoti hai.
Aaye ab jaante hai Godaady pe account kaise banaye jaate hai. Account banane ke liye niche diye gaye simple steps ko follow kare.
Godaddy Par Account Banane Ke Steps:
Step 1 :
Sabse pahle godaddy.com website pe jaye.
Step 2 :
- Ab right side me Sign In pe click kare.
- Create My Account pe click kare.
Step 3 :
Ab ek new page khulega jaisa ki niche diye gaye screenshot me dekh sakte hai. Isme aapko apna detail bharna hai.
- Apna email id likhe.
- Apna username likhe.
- Apna password likhe jo bhi aap rakhna chahte hai account access karne ke liye.
- Apna 4 digit ka support pin likhe (ye pin technical support se contact karne ke time pucha jata hai confirmation ke liye).
- Security challenge ko tick kare.
- Form fill ho jane ke baad ab aap Create Account pe click kare
Step 4 :
Create account par jaise hi click karenge aap ka Godaddy ka account ban jayega. Ab aap apne username aur password ka use kar ke kabhi bhi Godaddy website pe login kar sakte hai.
Conclusion :
Is article ke jariye aapne jana ki Godaddy par aacount kaise banaye jata hai. Yadi is jaankari se jura koi bhi sawal aapke mann me ho to aap comment kar sakte hai.