Aaj har koi mailing ke liye gmail account ka use karta hai. Agar aap bhi gmail user hai to aaj mai aapke liye ek important jankari share karne wala hu. Internet par kisi website par agar aap account banate hai to aapko apni profile ki security ke liye har 3-6 mahine me ek baar password change karna chahiye.
Account profile ka password change karte rahne se aapke account ki privacy aur security barkarar rehti hai. Aaj ke is article mai hum janenge ki Gmail Ka Password kaise change karte hai ke bare me.
Agar aap apne gmail accouant ka password change karna chahte hai to aap hmare dwara btaye gaye steps ko follow kar asasani se change kar payebge.
Gmail Account Ka Password Kaise Change Kare
STEPS TO FOLLOW:
Sabse pahle aap gmail ki site par jaye, site par jane ke liye yha click kare.
Step 1.
Ab email aur password daal kar login kare.
Step 2.
1. Ab right side me diye gaye apne profile icon par click kare.
2. My Account par click kare.
Step 3.
Ab ek new page open ho jayegi yha aap Sign-in & security option par click kare.
Step 4.
New page open ho jayegi yha Password text par click kare.
Step 5.
- Ab aap fir se apna gmail account ka password likhe verify karne ke liye.
- Next button par click kare
Step 6.
Ab password change karne ke liye ek new page khulegi.
- New password likhe.
- Fir se new password likhe.
- Change password button par click kare.
Button par click karte hi aapke gmail account ka password change ho jayegi. Ab aap apne gmail account ko use karne ke liye naye password ka use kare.