अब अपनी आवाज़ से करे अपने फ़ोन को कंट्रोल
Google apne android users ke liye ek bahut badhiya aaplications laya hai jiska naam Voice Access rakha hai. Is app se aap apne phone ko handsfree control kar payenge. Is app ko install kar aap bol kar apne phone ko commands de kar kaam kar sakenge touchscreen ko use karne ki jarurat nahi hogi.
Vaise log jinhe kisi karna wash touch screen use karne me pareshani hoti hai un logo ke liye Google ne bahut acha apps laya hai jisse install kar vo bol kar apna kaam kar payenge. Chaliye vistaar me jante hai Google Voice Access App kaise karta hai kaam aur isse aap kya kya kar sakte hai.
Google Voice Access Kaise Karta Hai Kaam ?
Abhi jo voice commands hai vo sirf English bhasha ko hi support karti hai. Aap ko sabse pahle playstore se is app ko install karna hai aur uske baad isse open kar aap apne awaj se phone ko control kar payenge.
Voice Access Ka Kaise Use Kare?
Sabse pahle aapko phone ke settings me jaye >> Accessibility par touch kare.
Voice access option ko chune.
Yaha se On kar de.
Ab aap command ka use kar phone ko handsfree use kar payenge
Voice Access Commands:
Agar aap kisi bhi screen se navigate karna chahte hai to aapko Go back ya Go home bolkar back ya fir home screen par ja sakte hai. Iske alawa aap koi text type karna hai kisi application ko use karte samay to bolna hai “type uske baad vo word jo likhna chahte hai”. Agar aap koi likhi hui libne delete karni hai to bolna hai “delete the line” aur vo line delete ho jayegi.
Google Voice Access App Download Kaha Se Kare?
Google ke official website yani ki playstore se is app ko apne android phone me download kar sakte hai.