Facebook Search History: Aaj ke samay me lagbhag har kisi ke pas Facebook account hai.
Kya apne kabhi dhyan diya ki jo kuch bhi aap Facebook par search karte hai vo apke Facebook account ke search history me save hote rehti hai. Apne Facebook account ke activity log me jakar keval aap hi usse dekh sakte hai.
Aksar koi bhi user yehi chahta hai ki vo jo kuch bhi search karta hai vo history me na rahe yani har koi apni privacy ko maintain karke rekhna chahta hai.
Vaise to ye history keval aap hi dekh sakte hai jaisa upar me maine btaya aapko fir history delete karna ek tarike se apne Facebook account par aur adhik privacy lagane jaise hai.
Is article me mai aapko step by step bataunga ki Facebook Search History Kaise Delete Kare, Facebook ki search history kaise delete kare ke bare me.
यह भी पढ़े:
Apni Google Search History Kaise Delete Karen
Facebook Search History Delete Karne Ke Liye Steps
Step 1.
Sabse pahle apne Facebook account par login kare.
Step 2.
- Ab right side me Down arrow icon hai us par click kare.
- Ab Activity log option par click kare.
Step 3.
Right side me sabse niche diye gaye MORE option par click kare.
Step 4.
Ab aap Search History option par click kare.
Step 5.
Search history option par click karte hi aapke samne sare search history dikh jayegi.
Ab aapke pas do option hai apne Facebook search history ko delete karne ka pehla hai ki aap kisi ek ko delete karna ya for sare history delte karna.
Kisi particular history delete karne ke liye.
- Aap uske samne ke edit button par click kare.
- Jaise edit par click kare ab aapko delete option dikhegi uspe click kare.
ab aapne jis Facebook search history ke samne ke edit/delete par click kiya hai vo delete ho jayegi.
Apne sare Facebook search history ko delete karne ke liye
- Clear Searches par click kare.
- Ab ek poup open hoga usme Clear Searches par click kare.
Ab aapka sare Facebook search history delete ho jayegi.
To dekha aapne kitna assan sa tarika hai jisse follow karke aap apne Facebook search history ko easily delete kar sakte hai.
Conclusion: Facebook Search History Delete
Dosto umeed karta hu ki aap ab apna Facebook search history asaani se delete kar payenge. Apko Facebook search history delete kaise kare jankari kaise lagi, achhi lagi hai to isse apne dosto ke sath share karna na bhule.
Iss lekh se jura koi sawal ya sujhav ho to comment section me likh jarur bataye. hume apke sawalo ka jawab dene me khushi hogi.