Is article me hum baat kar rhe hai PC ka password reset disk kaise banaye ke baare me | Password reset disk ki jarurat tab hoti hai jab PC ka password bhul jate hai | Pendrive ka use kar ke aap PC ka password reset kar sakte hai | Aaaye jaante hai ki password reset disk pendrive use kar ke kaise banate hai | Aaye vistrit rup se jaante hai is baare me |
Password Reset Disk Banaye Pendrive Se
- Sabse pahle pendive ko pc me lagaye.
- Control Panel open kare >> user account pe click kare >> Create Password Reset Disk pe click kare .
- Ab Forgotten Password Wizard window open ho jayega. Iske baad steps follow kare Next button pe click kar .
- Iske baad apna pendrive select kare aur current password type kare.
- Uske baad disk create process start ho jayega. kuch seconds ke baad.
- ab successfully password reset disk ban chuka pendrive se.
Password Reset Disk Pendrive ka use kaise kare
Jab kabhi aap apne PC ka Password bhul jaate hai Tab aap yhi pendrive jisme apne password reset disk banaya hai. usse PC me lagaye. Ab apne PC ko start kare. Phli baar aap wrong password type kare fir niche reset ka option aa jayega. Reset Password option pe click kare.
Ab New Password type karne ka option aayega isme nya PC ke liye nya password type kare. Ab aapki PC open ho jayegi naye password ke Saath.
Is article ke jariye aap PC ka password bhulne ke baad hone wale pareshaniyo se bach sakte hai. Aur yeh ek bhut hi assan tarika hai paasword bhul jane pe usse reset karne ka.
Agar yeh article aap ko achaa laga to please isse share kare.