Blogger ek bahut hi acha platform hai blogging karne ke liye aur ye open source hai yani iske use karne ke liye hame koi paise nahi dene padte hai. Blogger me bahut sari features maujud hai jisse aap asaani se blogging kar pate hai.
Agar aap blogging ki shuruaat karna chahte hai to aap blogger blog se shuru kar sakte hai aur vaise bhi ye Google company dwara banyi gayi to aap itna to asaani se samjh sakte hai ki startup se lekar bare blog ki liye bhi acha hoga .
Blogger blog me baad me aap custom domain name bhi use kar sakte hai. Jab jum blog banate hai to blog ka ek title aur description likhte hai.
Aaj hamare ek blog reader ne ye question kiya tha ki blogger blog ka title/name kaise change karte hai. Aaj is article me mai aapko step by step bata raha hu Blogger blog ka title aur description kaise change karte hai.
Blogger Ka Title aur Description Change Karne Ka Tarika
STEPS TO FOLLOW
Step 1.
Sabse pahle blogger.com website par jaye aur apni gmail id aur password se login kare.
Step 2.
- Ab aap Settings option par click kare.
- Ab title change karna chahte hai to edit button ko click kare.
- Description change karna chahte hai uske samne ka edit button par click kare.
Step 3.
- Ab change kar jo likhna chahte hai usse likhe
- Ab Save changes button par click kare.
Ab save par click karne ke baad apne blog ko refresh kar ke dekh sakte hai ki title/description change ho chuka hai.