Pahle ke post me aapko blogger patform par blog banane aur us par pahla post likh kar publish kaise kare ke bare mebataya tha. Blog ke SEO ke liye post ka link/URL me un keyword ka rehna jaruri hota hai jinhe ham target karna chahte hai. Ache keyword ke hone se post link ka search engine ke result me aane ke chances jyada rehta hai. Yadi aapka bhi blog blogger pe bana hua hai to aapko ye article jarur padhna chahiye aur jana chahiye ki blogger blog ke published post ka url change kaise karte hai. Is post ko padh kar ye jan payenge ki aap apne purane publish kiye gaye post ke url/link ko SEO friendly kaise bana sakte hai.
Blogger blog me post ko publish karne ke samay hamare paas option rehta hai ki ham usse automatic ki jagah par custom permalink yani ki post ke liye custom url bana sakte hai. Custom permalink option ka use kar ham post ko seo friendly asani se ban sakte hai .Agar aap apne post me custom permalink ka use karna chahte hai niche diye gaye link pe click kar jankari le.
Read:
Blogger Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
Jab ek baar aap apne likhe hue post ko publish kar dete hai tab aapko usme custom permalink set karne ka option nahi mil pata hai. Post ke publish ho jane ke baad link ko seo friendly banana mushkil ho jata hai kunki edit karne par link customize karne ka option nahi dikhta hai.
Aaj is post me mai aapko step by step batane ja rha hu ki kaise aap apne pusblish ho chuke post ke automatic permalink ki jagah pe aap usme custom permalink use kar sakte hai. Yha par mai aapko easy tarike se post ka url change karne ke baare me bata raha hu.
Steps:
- Sabse pahle apne blogger.com par login kare.
- Apne blog ko access kare.
- Jis post ke liye custom permalink yani url change karna chahte hai uske title ke niche diye gaye edit button pe click kare.
- Ab “Revert To Draft” button par click kare.
- Ab aap permalink option per click kare yaha pe aapko custom permalink option dikhegi.
- Ab apne post ka link apne according change kar le.
- Done button par click kare.
- Ab Publish button par click kar fir se post ko publish kar de.
Ab aap check kar sakte hai aap ke post ka URL change ho gaya hai. Is steps ko follow kar aap apne blogger blog ke published post ke url me highly targeting keyword ka use kar ke usse SEO friendly bna sakte hai. Is techniques ki help se aap blog post ke seo ranking ko google me top pe la sakte hai. Aapke post ke url jitna short aur ache targeting keyword ka use kar bana hoga utna jyada seo ke point of view se acha hai isse google me ranking badhegi aur aapke sites par visitor bhi jyada aate hai. Agar aap adsense ka use karte hai to income ke najariye se bhi aisa karna aapke liye acha saabit hoga kyunki aapke site par isse ache traffic aayenge aur income me badhotri hogi.
Agar aapka mann me blogger blog ke published post ke URL change karne se juda koi sawal hai to aap comment kar hame jarur bataye aapke sawalo ka jawab dekar hame khusi hogi. Agar hamare swara di gayi jankari aapko achaa laga to please isse share karna na bhule.
Sir aapne bahot achi jankari share ki hai me bhi ek blog banaya hai http://www.fulljankari.com blogger par aap dekh kar batana koi problem hai to please muje bataye thanks sir