Saturday, November 23, 2024
Home Blog पृष्ठ 26

Blogger Blog Ke Published Post Ka URL Change Kaise Kare

Pahle ke post me aapko blogger patform par blog banane aur us par pahla post likh kar publish kaise kare  ke bare mebataya tha. Blog ke SEO ke liye post ka link/URL me un keyword ka rehna jaruri hota hai jinhe ham target karna chahte hai. Ache keyword ke hone se post link ka search engine ke result me aane ke chances jyada rehta hai. Yadi aapka bhi blog blogger pe bana hua hai to aapko ye article jarur padhna chahiye aur jana chahiye ki blogger blog ke published post ka url change kaise karte hai. Is post ko padh kar ye jan payenge ki aap apne purane publish kiye gaye post ke url/link ko SEO friendly kaise bana sakte hai.

Blogger Blog Ke Published Post Ka URL Change Kaise Kare

Blogger blog me post ko publish karne ke samay hamare paas option rehta hai ki ham usse automatic ki jagah par custom permalink yani ki post ke liye custom url bana sakte hai. Custom permalink option ka use kar ham post ko seo friendly asani se ban sakte hai .Agar aap apne post me custom permalink ka use karna chahte hai niche diye gaye link pe click kar jankari le.

 

Read:

Blogger Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare

Jab ek baar aap apne likhe hue post ko publish kar dete hai tab aapko usme custom permalink set karne ka option nahi mil pata hai. Post ke publish ho jane ke baad link ko seo friendly banana mushkil ho jata hai kunki edit karne par link customize karne ka option nahi dikhta hai.

Aaj is post me mai aapko step by step batane ja rha hu ki kaise aap apne pusblish ho chuke  post ke automatic permalink ki jagah pe aap usme custom permalink use kar sakte hai. Yha par mai aapko easy tarike se post ka url change karne ke baare me bata raha hu.

Steps:

  1. Sabse pahle apne blogger.com par login kare.
  2. Apne blog ko access kare.
  3. Jis post ke liye custom permalink yani url change karna chahte hai uske title ke niche diye gaye edit button pe  click kare.
    Edit Post Blogger Blog
  4. Ab “Revert To Draft” button par click kare.
    Revert to Draft Blogger Blog Post
  5. Ab aap permalink option per click kare yaha pe aapko custom permalink option dikhegi.
    Custom Permalink Blogger Blog
  6. Ab apne post ka link apne according change kar le.
    Custom Permalink Blogger Blog
  7. Done button par click kare.
    Custom Permalink Blogger Blog
  8. Ab Publish button par click kar fir se post ko publish kar de.

Custom Permalink Blogger Blog Published Post

Ab aap check kar sakte hai aap ke post ka URL change ho gaya hai. Is steps ko follow kar aap apne blogger blog ke published post ke url me highly targeting keyword ka use kar ke usse SEO friendly bna sakte hai. Is techniques ki help se aap blog post ke seo ranking ko google me top pe la sakte hai.  Aapke post ke url jitna short aur ache targeting keyword ka use kar bana hoga utna jyada seo ke point of view se acha hai isse google me ranking badhegi aur aapke sites par visitor bhi jyada aate hai. Agar aap adsense ka use karte hai to income ke najariye se bhi aisa karna aapke liye acha saabit hoga kyunki aapke site par isse ache traffic aayenge aur income me badhotri hogi.

 

Agar aapka mann me blogger blog ke published post ke URL change karne se juda koi sawal hai to aap comment kar hame jarur bataye aapke sawalo ka jawab dekar hame khusi hogi.  Agar hamare swara di gayi jankari aapko achaa laga to please isse share karna na bhule.

 

Blogger Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare

0

Dosto aaj is post me janenge ki blog ke post ko custom link de kar seo friendly kaise banaya ja sakta hai. Jab aap blogging karte hai to chahte hai ki ache targeting keyword ka istemal post url me kiya jaye aur post ko search engine me top pe laya ja sake. Aaj ham janenge ki kaise apne post ke liye highly targeting keyword ka istemaal kar aap use search result me top la sakte hai.

Is tarike ke jariye aap apne blog post ke link ko short and targeting keyword ka use kar google search me rank kara sakate hai. Isliye aaye step by step jante hai blogger blog me custom permalink ka use kaise kiya jata hai aur post ke link ko seo friendly kaise rakh sakte hai.

Blogger Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare

Custom permalink ka use kaise kiya jata hai ye jaanane se pahle mai aapko batane ja rha hu ki custom permalink kya hai aur fir tabhi aap uska use karne ka tarika bhi ache se aap samjh payenge.

Custom Permalink Kya Hai ?

Blogger blog me post publish karte samay apne post ka link ko aap khud likh sakte hai aur publish kar sakte hai, khud se post ke link/url write karne ka option ko custom permalink kehte hai. Blogger me jab aap post publish karne jaate hai to by default automatic permalink select rehta hai lekin jab aap apne blog ke seo ke liye ache keyword ka use kar ke link creat ekarna chahte hai to custom permalink ka use karna hoga.

Automatic permalink jyada tar link long and lenghty ho jata hai aur aise me custom permalink bloggers ke liye best option hai jiski madad se blog post ko highly targeting keyword ke use se usse search result me la pate hai.

 

Blogger Me Custom Permalink Kaise Use Kare ?

Jab aap blogger blog me post likhne jate hai to post setting section me permalink ka option rehta hai. Aap post ko publish karte samay custom permalink ke option ko choose karke post ke link ko short kar sakte hai. Custom permalink metop targeting keyword ka use kar aap apne post ko search engine me rank kara sakte hai.

 

Custom Permalink

 

Custom Permalink Kaise Likhe ?

Blogger blog me custom permalink ko likhna bahut hi asaan hota hai . Jab aap oost likhne ke liye New Post button pe click karte hai toek new page khulta hai jaise ki aap niche diye gaye image me dekh sakte hai. Ab right sidebar me permalink par click kare , click karte hi aapko custom permalink ka option dikh jayegi. Ab aap apne according post ke liye custom permalink likh(set kar) sakte hai

Ab aap custom permalink ke box me apne post se related hilghly targeting keyword ka istemal kar aur link ko short kar sakte hai.

Post permalink ko likhte samay kuch baato ka dhyan rakhe jaise ki

  • Post link likhte samya apne post se relate ache keyword ko likhe.
  • Post permalink me keyword ke bich me “-” jarur use kare.
  • Aap blog ke link create karte samay ye characters (A-Z) (a-z)(0-1) ka use kar sakte hai.

 

Search engine me blog ko ranking me laane ke liye aap custom permalink ka use kare. Jitna jyada aapke blog ki seo ranking achi hogi yani ki goolgle search result me agar aapki blog top pahle page pe aati hai to visitors apke blog pe jyada aayenge.

Computer Par Instagram Kaise Chalaye

How to Use Instagram on PC

Namskar dosto pichle post me aapne padha ki Instagram kya hai aur is par account kaise banaya jata hai. Agar aapko yaad ho to maine us post me bataya hua hai ki Instagram basically mobile me use karne ke liye banaya gaya hai. Desktop/PC me aap instagram ko open kar login kar sakte hai lekin aapko photo upload karke share karne ka option nhi dikhta hai. Darsal me ye application keval mobile user ko dhyan me rakhte hue banaya gaya hai.

Computer Par Instagram Kaise Chalaye

Aaj tak aapne dekha, suna ya padha hoga ki bahut sare dusre website ki madad se aap computer par Instagram ka use kar sakte hai. Ha ye sach lekin mai jo aaj aapko trick bataunga uske baad bina kisi website ya third party software ka use kiye hua aap Instagram ko apne PC par mobile ki tarah chala sakte hai.

Hai na kamal ki baat agar aap Instagram ke sare features ko apne desktop par hi use kar paate hai to. Mai samajh sakta hu ki is baat ko padh kar aap utsahit honge ye janane ke liye ki aisa kaise kar sakte hai.

To chaliye aaj mai aapko batata hu computer par Instagram kaise chalaya jata hai step by step full guide hindi me.

Steps:

  1. Sabse pahle aap instagram.com website pe jaye.
  2. Ab login pe click kare aur apna username aur password likhe.
  3. Login button pe click kare. Login button pe click karte hi aap instagram pe  login ho jayenge.
  4. Ab mouse ka use kar right click kare.
  5. Inspect pe click kare.
  6. Ab ek naya section dikhega. Yaha par mobile icon par click kare.
  7. Ab aapko instagram page ko refresh(press F5) karna hai. Ab aap dekh sakte hai ki instagram ke saare feature load ho gaya hai (bilkul mobile ke jaisa).
  8. Ab jo naya section open hua tha usse close kar de.

 

Upar batatye gaye steps ko follow karne ke baad ab aap asaani se Instagram par post share kar sakte hai aur image upload kar apne friends aur family ke sath share kar sakte hai lekin dhyan rakhe ab aap ko page refresh nahi karna hai.  Ab aapke computer par Instagram ke saare features maujud hai aur aapka iska istemaal kar sakte hai.

Dosto umeed karta hu aapko ache se pata chal gya hoga ki computer par instagram kaise chalaye ke baare me. Agar aapka koi sawal ya sujhaw ho to jarur comment kare.  Hamare dwara di gayi jankari aapko achaa laga to please isse share karna na bhule.

English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare

Dosto agar aap English ko Hindi me translate(anuvad) karna chahte hai, to aap hamare is post ko jarur padhe.Is blog post me hum apko detail me batane wale hai ki English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare.

Aise bahut saare log hai bharat desh me jo English me likhi har text ko Hindi yani ki apni matribhasha me padhna chahte hai aur aisa nhi ho pane ki wajah se unhe padhne me dikkat aati hai aur vo sochte hai ki kash me iss English ko Hindi me translate karke padh pata. 

Hindi bhasha is desh ke kan kan me basi hui hai ham suru se hindi bolna sikhte hai, sabse pehle hindi me likhna suru karte hai lekin aaj bahut aisi jagah hai jaha pe koi bhi baat sirf english me hi likhi ya boli jaati hai aise me hindi pathako ko samajhne me kafi dikkat aati hai aur vo sochte hai ki kash ye Hindi me likha hota to kitna acha hota.

English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare

Itefaq se internet par sabse jyada use hone wali bhasa english hai.

Agar ham baat kare Bharat desh ke internet user ki to bahut saare user aise hai jo internet pe dikhayi gayi janakari ko hindi me padhna chahte aur english me likhi hui baato ko padhne me unhe dikkat hoti hai.  

English achhe se nahi pata hone se kaafi logo ko internet pe padhne me pareshani hoti hai.

Hindiblog4u ek hindi blog hai jis par internet ki sabhi jankari hindi me post ki jati hai.

Isliye aaj aap sabhi ke liye mai is tech guide me ye bata raha hun ki kaise assan tarike se aap English ke kisi bhi baat ko hindi me translate(anuvaad) karke usse padh sakte hai ya fir english ko hindi me translate karna yani ki english in hindi translate kar asani se samaj sakte hai.

Aaj Bharat desh me lagbhag sabhi logo ko internet ke baare me thori bahut jankari hai. Pahle ke samay me aapko kisi paragraph ko hindi me samjhne ke liye uske har ek word ka meaning dictionary me dekhna parta tha but aaj internet ka yug hai jiski madad se aap pure english paragraph ko ek baar me hindi me anuvad kar padh sakte hai.

Read:
PDF Files and Word Documents Ki Language Kaise Change Kare

English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare Step by Step Process

Aaye ab jaante hai english me likhe gaye paragraph ko hindi me kaise padh sakte hai yani ki english ko hindi me translate kaise karte hai , english in hindi translate kaise karte hai. Is post me ham apko Google Translate ke baare me batayenge  ki kaise aap iski madad se english ko hindi me anuvad kar padh sakte hai.

Steps:

Step 1:

Sabse pahle aap Google Translate ke website par jaye. Website pe jane ke liye yaha click kare. .Ab apke samne translate website open ho jayegi.

Step 2:

  1. Ab left(baye) side ke option me English ko chune.
  2. Ab right(daaye) side ke option me Hindi ko chune.
  3. Ab aap english paragraph/sentence ko left side ke box me likhe/paste kare/
  4. Ab Translate button pe click kare.
  5.  Translate par click karte hi right side me aapko hindi me uska meaning(anuvaad) dikh jayegi.
Translate English To Hindi

Mobile Par English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare?

Mobile par bhi aap translate kar sakte hai iske liye aapko Google Translate application ko apne mobile me install karna hota hai.

Steps:

  1. Sabse pahle aap playstore pe jaye , jane ke liye click kare.
  2. Ab search box me Google translate likhe aur search icon pe click kare.
  3. Ab google translate ka page load ho jayega install button pe click kare. Click karte hi app install ho jayegi.
  4. Ab aap apne app ko open kar kisi bhi english paragraph ko hindi me likh/bol kar translate(anuvad) dekh/sun payenge.

Download Google Translate Mobile App

Offline English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare?

Offline me bhi english ko hindi me tralsate kar sakte hai aur suske liye bahut saare software hai jisse app free me download kar aap use kar sakte hai. Offline me translate karne ke liye yha click kare software download kare.

Dosto umeed karta hu aapko ache se pata chal gya hoga ki english ko hindi me kaise translate karte hai(English in Hindi Translate).

Agar aapka koi sawal ya sujhaw ho to comment kare. Agar ye post acha laga to isse jarur share kare.

Website Ki Speed Kaise Check Kare

0

Namaskar dosto aaj is post me hum janenge ki website ya blog ki speed kaise check karte hai. Jab aap apne liye koi blog ya website banana chahte hai to aapko uske liye template ki jarurat hoti hai.

Uski designing acha banane ke liye ham bahut sare widget ka use karte hai aur additional feature add karne ke liye ham WordPress ke blog me naye naye plugin ka use karte hai.  

Jab Blog acha ban jata hai tab usme me ham post likhna shuru karte hai aur post ke sath image add karte hai aur post ko publish karte hai taki user hamari blog par visit kar us post ko padh sake.

Jab bhi visitors apke blog pe aate hai aur kisi post ko padhna chahte hai to sabse important bat ye hoti hai ki apke blog ki speed kaise hai aur user ke PC/laptop pe khul rhi hai ya nahi ya fir slow internet connection pe aapki blog open hoti hai ya nahi aise me blog ka open hona uske speed pe depend karta hai .

Isliye apne blog ko top level blog banane ke liye uske speed ko jarur check kare aur behtar banaye.

Website ki speed check karne ke liye bahut sari websites hai but mai unhi website ke baare me bata raha hu jiska report bilkul sahi rehta hai aur aap is ke anusar apne blog ke speed ko badha sakte hai.

Blog/Website Ki Speed Check Karne Ke Liye Websites

  • PageSpeed Insights
  • GTmetrix
  • Pingdom

To aaye ek ek kar sabhi website ke baare me vistaar rup se jante hai ki inpe speed kaise check ki jati hai yani in website pe speed check karne ka kya tarika hai.

PageSpeed Insights

Steps:

pagespeedinsight
  1.  Sabse pahle aap pagespeed insight ki website pe jae. Website pe jane ke liye yaha click kare.  https://developers.google.com/speed/pagespeed/insights/
  2. Apne blog /website ka url daale.
  3.  ANALYZE button pe click kare

Button pe click karte hi aapko apne blog/website ki speed dikh jayegi. Ye Google company dwara di gayi free service hai jiski madad se aap apne blog ka speed check kar sakte hai.

GTmetrix

Steps

Sabse pahle aap GTmetrix ki website par jaye. Website par jane ke liye yaha click kare https://gtmetrix.com/

  1. Apne blog /website ka url daale.
  2. Analyze button pe click kare

Button pe click karte hi aapko apne blog/website ki speed dikh jayegi.

Pingdom

Sabse pahle aap Pingdom ki website par jaye. Website pe jane ke liye yaha click kare.  https://tools.pingdom.com/

  1. Apne blog /website ka url daale.
  2. Test from me USA option ko chune.
  3. Analyze button pe click kare

Button pe click karte hi aapko apne blog/website ki speed dikh jayegi.

Dosto dekha aapne ki blog ki speed ko check karna kitna asaan hai. Agar aapne abhi tak apne blog speed nahi check kiya hai to jarur check kare. Aapko ye jankari kaisi lagi comment karke jarur bataye.

Website Ka Full Screenshot Kaise Lete Hai

Hello dosto, aaj mai aapko batane jar ha hu ki website ka full screenshot kaise lete hai. Aaj tak aapne dekha hoga ki website screenshot lene ke liye printscreen button ka use karte hai. Lekin vaisa karke aapne dekha hoga full page screenshot lena mushkil hota hai, aise me aapko is post ke jariye batane ja rha hu ki website ka full screenshot easy steps me kaise lete hai.

Website Ka Full Screenshot Kaise Lete Hai

Ye jaankari aapke liye bhut jaruri hai jab

  • Jab kisi website pe koi article aur post padhte hai aur vo jankari achi lagti hai to aap baad me bina internet ke padhne ke liye uski full screenshot le kar rakh sakte hai aur future me kabhi padh sakte hai.
  • Aap kisi website ki information kisi ke sath share karna chahte hai to uska full screenshot lekar share kar sakte hai.
  • Agar aap apne blog pe pahle se maujud kisi website ka koi webpage display karna chahte hai to aap uska screenshot le kar apne post me add kar sakte hai.

 

Website Ka Full Screenshot Kaise Le?

Aaj is post me aap janenge ki browser me open hui kisi website ka full screenshot kaise lete hai. Is post me aap janenge ki Google chrome aur Mozilla firefox me open website ka full screenshot kaise lete hai. Ye dono browser sabse jyada use hota hai isliye iske bare me jaankari de raha hu.

  1. Google chrome browser me website ka full screenshot kaise lete hai.
  2. Mozilla Firefox me website ka full screenshot kaise lete hai.

To  aaye sabse pahle jante hai ki

  1. Google chrome browser me website ka full screenshot kaise lete hai.

Google chrome browser me open hui kisi bhi website ka full screenshot lene ke liye aako ek nya extension add karne ki jarurat hoti hai. Extension ek type ka software hai jo browser me add hota hai.

Google chrome extension ke bare me adhik janane ke liye yaha click kare.

Step 1: Sabse  pahle aap “Full Page Screen Capture” extension ko apne google chrome browser me add kare.

Step 2: Jaise hi extension successfully install ho jata  hai aapke browser ke right side top corner pe camera ka icon add ho jayega.

Step 3: Ab aap jis website ka full screenshot lena chahte hai use browser me open kare , open ho jane pe camera vale icon pe click kare.

Step 4: Ab ek new tab me screenshot dikhegi. Save karne ke liye download button pe click kare ya fir image pe right click kar bhi save kar sakte hai.

 

  1. Mozilla Firefox me website ka full screenshot kaise lete hai.

Step 1: Sabse pahle Mozilla firefox ko open kare.

Step 2: Ab aap addon “full webpage screenshot” me add kare.

Step 3: Ab jis website ka screenshot lena chahte hai use open kare aur right side me top pe dikh rhe “S” icon pe click kare.

Step 4: Ab aapka screenshot capture ho jayegi . Right side me “Save” pe click kare aur image save ho jayegi.

 

Dosto is post ke jariye maine aapko bataya ki Chrome aur Firefox browser me kaise full screenshot lete hai. Koi problem hoti hai screenshot lene me to comment box me apna problem likhe.

Agar aapke paas bhi kisi aur screenshot lene vale extension ki jaankari hai to share kar sakte hai. Share karne ke liye niche diye gaye comment box me aap jaankari share kar sakte hai.

 

Hostgator India Se Hosting Kharide 50% Discount Par

Hello friends Hostagtor India hosting kharidne pe 55% ka discount offer de rahi hai.

Hostagator par normal hosting price Rs375(hatchling plan) hai lekin yadi  aap abhi hosting kharidte hai to aapko matra Rs187.50 pay karna hoga.

Ye flash sale sirf 2 days 16th August se 18th august ke liye avaliable hai.

Agar aap hosting kharidne ki soch rahe hai ya fir apka baad me lene ka plan hai to aisa mauka hath se jane de aur aaj hi apne liye hosting kharide bilkul half price par.

Hostgator India Se Hosting Kharide 50% Discount Par

Hostgator India ki hosting service bahut hi achhi hai aur inki technical support team bhi bahut helping hai. Kabhi bhi koi problem aane pe ye turant support provide karte hai. Hostagator ke technical support team se aap direct chat kar apne problem ko solve kara sakte hai.

Jab koi newbie blogger first time blog setup karte hai to kafi baato ka jankari nahi hoti aise me wordpress ki blog setup karne me kuch pareshaniya aati hai but hostgator India ki tech support team bahut hi helpinh hai unki support se aap easily setup kar payenge isliye blogging start karne ke liye aap hostgator India ki hosting kharide.

55% discount pe hosting kharidne ke liye niche diye gaye link pe click kare.

Hostgator India 55% Discount Offer On Hosting Valid on 16th Aug – 18th Aug 2021

Site open hone ke baad discount offer pane ke liye aap niche diye gaye coupon code ka use kare.

Code: HGI21INDP

Hostgator India Se Hosting Kharidne Ke Fayde.

Hostgator india ki hosting hindi bloggers ke liye bahut hi achha hai yha pe aap apne language me technical support se help le sakte hai.

Sabse achhi baat to ye hai ki hostgatorIndia me hosting aap debit card/net banking se bhi kharid sakte hai but agar aap USA ki hosting lena chahte hai to aapko payment credit card/paypal ke through karna hota hai .

Bahut sare newbie jo blogging suru karna chahte hai unke pas credit card ya paypal account nhi hota hai aise me unhe hosting kharidne me pareshani hoti hai lekin Hostagtor India ke sath aisi koi problem nahi hai.

Hostgator India Se Hosting Lene Ke Liye Available Payment Options:

Dosto aap soch rahe honge ki kaun kaun sa payment option use kar ke aap hostgator india se hosting kharid sakte hai . Mai iss me sare payment option niche mention kiya hai jiska use kar aap iss discount ka fayda uthate hue hosting kharid payenge.

  • Debit Card
  • Net Banking
  • Credit Cards
  • Paypal
  • Offline payment (Direct deposits to Hostgator ICICI Account)

To yadi aap hindi blog ya fir koi website banane ki liye hosting lene ki soch rahe hai to jaldi decide kare kyunki ye offer sirf 2 days (yani ki 16th August aur 18th August 2021) ke liye hi hai.

New hindi bloggers jo blog satrt kar rhe hai ya fr karna chahte hai unke liye mai hostgator India ki hosting recommend karna chahunga.

Agar aap ka hosting se juda koi sawal hai to aap comment kar ke puche.

सोशल मीडिया पर HB4U से जुड़े

435FansLike
16FollowersFollow
7FollowersFollow
231FollowersFollow
224FollowersFollow
6,380SubscribersSubscribe