Hello dosto apne google search bar me kabhi kisi keyword ko search kiya hoga aur dekha hoga ki result me koi ek website top par aati hai.
Aaj is article me hum janenge ki kaise blog post ko Google search result me top par late hai. Jab kabhi bhi aap Google search bar me kisi keyword ko search karte hai to us se jude kai sare options dikhte hai lekin ek option aisa bhi hota hai jo Google me top par aata hai.
Google search result me blog post ko top par dikhane ke liye bahut saare tarike ka kaam karna hota hai aur aaj is post me ham usi ke bare me janenge.
Google apne search result me kisi website ko ek process ke tahat dikhata hai jisse algorithm kaha jata hai. Isi algorithm ke anusar koi ek website jo iski creteria ko fulfill karte hai vo search result me top pe dikhta hai.
Agar aap janana chahte hai ki search result me blog post ko top par kaise laya jaye to hamare is post ko pura ache se padhe.
Google search results me top par usi website ki dikhaya jata hai jisse user sabse jyada search bar me searrch karte hai ya us par visit karte hai. JIs website ya jo post ke keyword ko sabse jyada search kiya jata hai user ke dwara usse Google ki algorith top par display karta hai.
Google Search results me blog post ko top par rank karane ke niche diye gaye kuch tarike ko follow kare.
- Optimize Your Blog Post Title
Apne blog ka post likhte samay highly targeting keyword ka use kare. Vaise keyword ko post title me use kare jinke searches jyada hai. Apne post title ka dhyan rakhe ki 60 character se jyada na ho. Post ka title aisa likhe jise padh kar article ka summary yani ki articke kis bare me hai reader ko asaani se samajh aa jaye. Post ka title par sabse jyada dhyan dekar likhe ache post title google search results me top par jaldi aati hai.
Apne article ke best keywords ko chune jise sabse jyada search kiya jata hai Google search me. Keyword search karne ke liye aap Google keyword planner ka use kare aur apne post ke liye hihly targeting aur best keywords ko find kare aur apne post me use kare.
Jaisa ki maine upar iske bare me btaya ki vhi post top pe aate ha jis keywords ko user sabse jyada search karte hai.
Jitne jyada log aapke post ko dekhenge utni jyada vo share bhi hota hai jisse ki search engine me top rank pe aane me madad milti hai.
- Write great content for Article
Apne article ke liye ache aur quality content likhe aur kosish kare ki apke me 1000 se jyada word me likhe gaye ho. Content ache aur saral bhasha ke sath likhe taki visitor ko padhne aur smajhne me asaani ho aur unhe acha lage.Jab use ko article acha lagta hai tabhi vo usse social site par share karte hai aur isse bhi post ki ranking aane me madad milti hai. Apne article me image jarur add kare aur image ke tag me alt ka use jarur karna chahiye.
- Use Internal Linking in Article
Agar aap blog post likh rahe hai to us se related jo pahle post apne likha hai uska link isme jarur de. Is se aapke blog ka bounce rate kam hoga aur apke blog visitors apke blog par jyada der tak rahenge.
- Meta Description and Keyword
Apne published post ke liye ache keyword ka use kar meta description aur meta keyword likhe. Meta description likhte samay dhyan ki uski length maximum 160 character rahe. Meta keyword ka SEO par kuch jyada asar nahi hota hai but aap chahe to likh sakte hai. (On page SEO)
Jab aap post likh kar publish kar lete hasi to jaruri hota hai ki us post ko search engine ke liye submit kiya jaye taki jab koi user search engine me aapke post ke title se related keyword likhe to search engine results me vo dikhe.
- Share Post to Social Website
Apne published post ka link social website jaise ki facebook, twitter , google plus ,stumbleupon wagaira par share kare. (off page SEO) Social share par link post karne se apke post ko search engine results me achi ranking milti hai.
Google ki algorithm ke anusra us content ko sabse top pe dikhya jata hai jisse use sabse jyada seacrh kar vist karte hai.Google ke dwara search kar aapke website par jo click aati hai hai uske anusar aapke post ki rank decide hota hai ki vo search result me kaun se position pe dikhegi.
Traffic source se ye matlab hai ki aapke website /blog pe jo visitors aa rahe hai vo kis madhyam se aa rahe hai .Iske liye bahut sare sources hote hai jaise ki yadi vo google search bar ke through aate hai to aapke blog ki ranking upar ki aur sabse jyada jati hai ya fir social site ya direct aapke blog domain ko likh karbhi agar aapke blog par koi visitors aate hai to aapke site ke ranking achi hoti hai.
Backlink ek web source hota hai yani ki aapke website ka link jo kisi aur website pe diya gya ho.Backlink ke madhyam se bhi blog ke traffic badhti hai aur abhi aapne upar padha ki jis ki searches aur click jyada ho usse ranking achi milti hai. Apke blog ka jo niche hai us se related other blog par comment kare is aapke blog ka backlink banega aur apko traffic milegi.
Bounce rate ka matlab vaise website visitors ke percentage se hai jo apke website par aate hai aur keval ek page ko dekhte hai aur uske bad kahi aur chale jate hai.
Ye kisi particular website ke un visitors ka perentage hai jo apke website ke kisi ek page ko padhte hai uske baad apke website par kahi bhi click nhi karte hai.
Aapke blog/website ka bounce rate jitna kam hoga utna hi aapke blog post ke google search results me top par aane ka chances jyada rehta hai.
Bounce rate adhik hone ka matlab ye hai aapke dwara di gayi jankari se aapke blog reader khush nahi hai aur vo aage aapke blog kuch padhna nahi chahte hai . Isliye blogger ki koshis yahi rehna chahiye ki apke blog ka bounce rate kam se kam ho.
To dosto umeed hai ki aap samjh gaye honge ki Blog post ko Google ke first page par rank karane ke liye kya karna hota hai.
Agar is lekh jura koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye.