Online Shopping Sites: Samay teji se badal raha hai aur aise me India me internet user ka sankhya teji se badha hai aur lagatar badh raha hai.
Internet ke is daur me online shopping (yani ki online kharidari) karna logo ko jyada pasand aa rha hai. Online shopping karne se na sirf aapke samay ki bachat hoti hai balki aapko apne ghar baithe hue hi samaan mil jata hai.
Bahut se internet user aise se hai jinhe online shopping kha se kare ki jankari bhi ache se nahi hoti hai aur unhe darr bhi lagta hai ki kahi kharida hua samaan khrab na bhej de.
Aaj ye post likhne ka mera main maksad yeh ki main aapko batau ki online shopping aapko jarur karna chahiye isse aapke kafi samay ki bachat hoti hai lekin sirf kuch trusted online shopping sites hai unhi se.
Is article me mai India ke popular aur kafi trusted online shopping sites jinse maine bhi online shopping ki hai unki list aapke liye laya hu.
Top 10 Online Shopping Sites in India 2022
Flipkart ko Sachin bansal and Binny bansal ne 2007 me launch kiya tha. Aaj ke samay me India me sabse jyada logo Flipkart se online shopping kar rahe hai. Mai khud bhi Flipkart ko sabse jayada like karta hun. Flipkart ke site ya app se aap Clothing, electronic, accessories etc shopping kar sakte hai. Yha se koi bhi saman aap order kar ghar baithe pa sakte hai aur deliveryke samay par aap paise de sakte hai.
Amazon online shopping ke liye worldwide famous hai sath hi India me bhi bahut jayada popular hai. Yha se aap mobile,computer,books,clothing etc ki shopping kar sakte hai.Amazon ceo Jeff Bezos ne 1994 me maunch kiya tha.Bharat me Amazon February 2012 me launch hui thi. India me Amazon bhi online shopping ke liye bahut popular hai.
Snapdeal ek online ecommerce company hai jiska main headquarter New Delhi me hai. Yha se aap Electronics, Mobile,Clothing aur kitchen appliances etc online order kar ghar baithe manga sakte hai.Sanpdeal ko Kunal Bahl aur Rohit Bansal ne February 2010 me launch kiya tha.
Paytm mall ek online shopping site hai jo PayTM company dwara launch kiya gya hua hai. Yah se aap clothing,shoes,electronics item etc ki shopping kar sakte hai.
Shopclues ek indian ecommerce website hai. Yeh Clues Network Pvt. Ltd. company dwara July 2011 me launch kiya gaya tha.Aap yahan se mobile,laptop, shoes aur kitchen appliances product ki kharidari kar sakte hai.
Myntra ek Indian online shopping website hai jis par sabse jyda lifestyle products sell hoti hai. Aap yahan se shoes,clothing aur anya fashion accessories ki shopping kar sakte hai. Myntra company ka headquarter Bengaluru me hai. Company ko 2007 me launch kiya gya tha aur us samay ye sirf gift item sell karti thi lekin 2010 ke baad se yeh clothing and fashion accessories sell karti hai.
Jabong bhi ek Indian online shopping site hai jaha par aap fashion aur lifestyle product ki shopping kar sakte hai.Jabong.com ko Praveen Sinha, Lakshmi Potluri, Arun Chandra Mohan aur Manu Jain ke dwara 2012 me launch kiya gya tha.
Tatacliq ek online shopping site hai jo electronics and clothing ke liye bahut hi famous sites me se ek hai. Yeh Tata group ki online shopping site hai jise 27 may 2016 ko launch kiya gya tha.
Ajio ek Indian ecommerce website hai jo Reliance company dwara 2016 me launch kiya gaya tha. Ajio se aap men, women and kids wear order kar sakte hai iske alawa isse aap home aur kitchen appliances bhi online order kar ghar pe manga sakte hai.
Homeshop18 bhi ek online shopping site hai jispar sabse jyada home aur kitchen applicance ki selling hoti hai.
Conclusion: Best Online Shopping Sites
To dosto ye kuch India ke top 10 online shopping sites list hai jiske bare me maine apko bataya hai. Ye kafi popular aur bharosemand online shopping sites hai jinse aap bina dare behichak kharidari kar sakte hai.
Umeed hai apko jankari achhi lagi hai. Isse apne dosto ke sath jarur share kare. Agar aap koi sawal ya sujhav ho to comment kar jarur bataye.