Dosto aaj is article me mai aapko bataunga ki Pinterest social site par account kaise banate hai. Pinterest bhi facebook aur twitter ki tarah ek famous social site hai jiske jariye aap apne website/blog ko promote kar sakte hai. Pinterest ki service free of cost hai . Agar aap apne blog ka traffic bhadhana chahte hai to aapke liye Pinterest pe account banana bahut jaruri hai. To aaye vistaar rup se jaante hai ki Pinterest par account kaise banaye.
Pinterest Kya Hai ?
Pinterest ek social network website hai jispe aap apne blog post , image ko pin kar sakte hai. Pinterest 7 march 2010 ko Paul Sciarra ke dwara launch kiya gaya tha.
Pinterest Par Account Kaise Banaye ?
Pinterest pe account bnane ke liye hamre dwara btaye gaye simple steps ko follow kare.
Step 1:
Sabse pahle pinterest ke official site pe jaye. Jane ke liye click kare.
Step 2:
Ab ek new page khulega.
- Facebook account ke jariye direct signup karne ke liye click kare ya.
- Email id likhe
- Password likhe.
- Login button pe click kare.
Step 3:
Ab agla page load ho jayega.
- Fullname likhe
- Age likhe.
- Gender select kare
- Signup button pe click kare.
Step 4:
Follow 5 Topics : Ab pahle se bane hue pin board me se 5 ko select karne ke liye option aayega. Apne pasand ka 5 pin ko select kar le.
Done : Done button pe click kare.
Step 5:
Ab new page khulega usme aap Skip pe click kare.
Step 6:
Apna email id open kar pinterest dwara bheje gaye mail (“confirm your email”) par click kare.
Conclusion:
Is article ke jariye aapne pinterest par account bnana sikha . agar aap ke paas is jaankari se jura koi sawal hai to niche comment box me likhe.