Blogging me email delivery service provider ka kya role hai iske bare me maine pahle ke post me jikra kiya hua hai. Feedburner ek email delivery service network hai jiske jariye aap apne site visitors ko new post ki notification bhejte hai. FeedBurner Google ke dwara di gayi free email delivery service hai. Aaj is post me aap jan payenge ki kaise aap apne subscribers or visitors ko jyada se jyada badha sakte hai. Iske liye jarurat hoti hai new post ki jaankari sahi time pe deliver karna.
Kya ye possible hai ki Feedburner ka email delivery time change ho sake? Ji Haa, ye bilkul mumkin hai. Email delivery time ko change karne ke liye kuch simple steps ko follow karne hote hai.
Feedburner Email Delivery Service Kyo Chune?
Jaisa ki phle ke post me bhi mai is se juri jankari share kar chukka hu fir bhi apapko overview deta hu.
Feedburner Google dwara di gayi ek Free email delivery service network hai . Jaisa ki aapne padha ye Google ki service hai aur yeh free bhi hai. Iski service bhut hi achi hai aur iska use karne ke liye koi charges pay nhi karna padta hai. Jyada blogger free service use karte hai vo FeedBurner ko prefer karte hai iski service achi hone ke karan. Mai bhi email delivery ke isi ka use karta hu. Feedburner ke baare me adhik janane ke liye click kare.
Agra aap ka blog blogger pe hai tab aapko isse aur jyada prefer karna chahiye kyunki dono service Google ki hai. Iske jariye blogger blog ke new post ki jaankari aap apne subscribe tak phucha sakte hai.
FeedBurner Ka Email Delivery Time Kyun Change Kare?
Blooging ke duniye me subscribe ka bhut important role hai kunki ye aapke blog ka traffic badhane me madad karte hai. Isliye aapke subscriber ko email aise time pe deliver ho jab vo free ho aur new post ki notification ko dekhe aur aapke site ko visit kar sake. Iske liye aapko time decide karna hota hai.
Aap jis country ke visitors ko target karna chahte uske timezone ke according time set kare. Taki vistors ko free time me mail deliver ho.
Jaise ki HindiBlog4u blog ka main target India ke vistors hai to mai India ke timezone ke according time set kiya hua hai.
Feedburner Feed Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare ?
To aaye jaante hai mail delivery time kaise set hota hai. Niche diye gaye steps ko follow kar aap apne post notification ki mail delivery time change kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pahle apne FeedBurner Account pe jaye aur Google account se login kare.
- Aaapke aapke saamne aapke feed open ho jayegi. Ab jis feed ka email delivery time change karna chahte hai uske title pe click kare.
Step 2:
- Ab Publicize Tab par click kare.
- Email Subscriptions link par click kare.
Step 3 :
- Delivery Options par click kare.
- Timezone select kare
- Email Delivery Schedule time set kare.
- Save par click kare.
Ab aapke Feedburner ki email delivery time change ho chuki hai. Jo samay apne set kiye hai ab aapke subscriber ko new post ki notification us time pe mail jayegi.