Blogging karna koi aasan kaam nahi hai aur nahi isme successful hone ka koi shortcut tarika hai.
Agar sahi tarike se lagatar kaam kiya jaye to isme koi bhi success ho sakta hai.
Jo bloggers hai vo apne computer me Google chrome browser ka use jarur karte honge mai khud bhi google chrome ko use karta hun kunki mujhe easy lagta hai sath hi bahut fast kaam karta hai.
Agar aap bhi google chrome ka use karte hai to aise me ye Google chrome extension apke blogging ke kaam ko asan kar dega. Aap in extension ko browser me install kar apne blogging ke bahut sare kaam asaani se kar payenge jaise kisi site ki ranking check karna, adsense ka use karte hai to apni income dekh sakte hai ya aap kisi site ka backlink check kar sakte hai.
Jab kabhi aap apni site ka link kisi aur website par add karna chahte hai to aap uski domain authority aur ranking check karna chahte hai ye sabhi kaam aap yaha bataye gaye Google chrome extension se assani se kar payenge.
Google chrome browser me bahut sare useful extension maujud hai jo blogger ke daily kaam ko aur asaan bana deti hai.
Blogger Ke Liye Best Google Chrome Extension [Best Chrome Extensions for Bloggers]
Keywords Everywhere
Keywords Everywhere extension ek free seo keyword research tool hai jisse aap apne browser me install kar sakte hai aur keyword research kar sakte hai jisme aapko word ki search volum aur cost per click dikhti hai.
Grammarly
Grammarly extension ka use karne se aapko ye pata chalta hai ki aapke dwara banaya gaya document, post ya koi content likhte hai to usme se mistake(galti) ko hata sakte hai.
EverNote Web Clipper
Jis webpage ko aap note ke liye rakhna chahte hai usse is extension ka use kar clip kar sakte hai. Aap apne manchaha webpage ko is extension ka use kar Evernote me save kar sakte hai aur kabhi bhi open kar padh sakte hai.
SEO for Chrome
Ye extension Woorank ke dwara banaya gaya hai. Is extension ki madad se aap kisi bhi website ka deep SEO report nikal sakte hai jisse aap uski puri SEO se juri jankari mil jati hai.
Majestic Backlink Analyzer
Aap iss extension ka use kar kisi bhi website ke backlinks ki jankari hasil kar sakte hai. Yeh ek Free SEO extension hai jiska main kaam kisi bhi website ka backlinkscount karna hai.
SeoQuake
SEOQuake ek free extension hai jo aapko SEO metrics and audit ki jankari deti hai.Aap isse kisi webapge ka puri SEO audit nikal sakte hai.
Shareaholic for Google Chrome
Yeh ek behtreen Google chrome extension hai jiska use karke aap ek blog article ko apne sabhi social services account par share kar sakte hai. Aap isme customize bhi kar sakte hai yani ki chun sakte hai ki kaun kaun se social site par aapko ek sath link share karna haiaur kis par nahi karna hai.
Search by image (by google)
Is extension ka use kar ke aap internet par image ke madhyam se koi bhi search kar sakte hai.Aksar jab aapko search karna hota hai to aap text likh kar search karte hai lekin is extension me feature di gayi jisse aap image upload kar uske bare me jankari search kar sakte hai.
Link Miner
Is extension ka use kar aap kisi website ka broken link check kar sakte hai. Ek page par diye gaye sabhi links ko export kar sakte hai sath hi ye bhi pata kar sakte hai kisi ek webpage kar kitne external link source diye gaye hai.
Awesome Screenshot
Yeh ek bahut hi badhiya extension hai jiska use screenshot lene aur annotation add karne ke liye bnaya gya hai. Iski madad se aap kisi bhi webpage ka screenshot asaani se le sakte hai.
Google Publisher Toolbar
Agar aap Adsense use karte hai apne blog se monetization ke liye to aise me ye extension aapke liye bahut hi jayda useful hai. Aap is extension se apni daily earning check kar sakte hai sath hi ye pata kar pate hai ki kaun se site kitni earning ho rahi hai. Adsense earning se juri basic sabhi jankari prapt kar pate hai.
Yaha par maine bloggers ke liye best and top 11 Google chrome extensions share kiya jisse aap kaam bahut asan ho jayega aur kafi samay bhi bachega. Agar aapko ye jankari achhi lagi to isse share jarur kare.