Aaj ke samay me video dekhne ke liye Youtube sabse jyada popular site hai. Blogger or Youtuber apni video bana kar is site par upload karte hai jinse unki income hoti hai. Lekin kya aap ne kabhi socha hai ki YouTube par bhi aap apne website ya blog ka link add kar sakte hai.
Ji ha YouTube ka Global alexa rank 2 hai yani ki duniya me ye dusri number pe aane wali website hai jiske visitors sabse jyada hai. Niche diye gaye image me dekh sakte hai. Sochiye ki agar youtube jaisi traffic wale site se aapke blog ke liye backlink mil jaye to kitna acha rahega aapke liye.
Jyada tar blogger apna youtube channel jarur bnate hai aur usse income bhi karte hai. Kya aap jante hai ki Youtube jo duniya me sabse jyda use hone wali site me dusre paydan par hai usse bhi blog ke liye Dofollow backlink paya ja sakta hai. Aaj mai aapko batane wala hu ki YouTube se dofollow backlink kaise paya jata hai apne blog ke liye.
Is article me aap step by step janege ki Youtube se blog ke liye aap dofollow backlink kaise bana sakte hai.
STEPS TO FOLLOW:
Sabse pahle aapko youtube.com website par jaye aur apni gmail id se login kare.
- Channel par click kar
- Advanced par click kare.
- Ab Associated website option me apne blog ka link de.
- Add button par click kare
Add button par click karte hi aapko success ka message dikh jayega aur aap apna channel ko access karengge to aap dekhenge ki website/blog link add ho gayi hai.