English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare

0

Dosto agar aap English ko Hindi me translate(anuvad) karna chahte hai, to aap hamare is post ko jarur padhe.Is blog post me hum apko detail me batane wale hai ki English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare.

Aise bahut saare log hai bharat desh me jo English me likhi har text ko Hindi yani ki apni matribhasha me padhna chahte hai aur aisa nhi ho pane ki wajah se unhe padhne me dikkat aati hai aur vo sochte hai ki kash me iss English ko Hindi me translate karke padh pata. 

Hindi bhasha is desh ke kan kan me basi hui hai ham suru se hindi bolna sikhte hai, sabse pehle hindi me likhna suru karte hai lekin aaj bahut aisi jagah hai jaha pe koi bhi baat sirf english me hi likhi ya boli jaati hai aise me hindi pathako ko samajhne me kafi dikkat aati hai aur vo sochte hai ki kash ye Hindi me likha hota to kitna acha hota.

English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare

Itefaq se internet par sabse jyada use hone wali bhasa english hai.

Agar ham baat kare Bharat desh ke internet user ki to bahut saare user aise hai jo internet pe dikhayi gayi janakari ko hindi me padhna chahte aur english me likhi hui baato ko padhne me unhe dikkat hoti hai.  

English achhe se nahi pata hone se kaafi logo ko internet pe padhne me pareshani hoti hai.

Hindiblog4u ek hindi blog hai jis par internet ki sabhi jankari hindi me post ki jati hai.

Isliye aaj aap sabhi ke liye mai is tech guide me ye bata raha hun ki kaise assan tarike se aap English ke kisi bhi baat ko hindi me translate(anuvaad) karke usse padh sakte hai ya fir english ko hindi me translate karna yani ki english in hindi translate kar asani se samaj sakte hai.

Aaj Bharat desh me lagbhag sabhi logo ko internet ke baare me thori bahut jankari hai. Pahle ke samay me aapko kisi paragraph ko hindi me samjhne ke liye uske har ek word ka meaning dictionary me dekhna parta tha but aaj internet ka yug hai jiski madad se aap pure english paragraph ko ek baar me hindi me anuvad kar padh sakte hai.

Read:
PDF Files and Word Documents Ki Language Kaise Change Kare

English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare Step by Step Process

Aaye ab jaante hai english me likhe gaye paragraph ko hindi me kaise padh sakte hai yani ki english ko hindi me translate kaise karte hai , english in hindi translate kaise karte hai. Is post me ham apko Google Translate ke baare me batayenge  ki kaise aap iski madad se english ko hindi me anuvad kar padh sakte hai.

Steps:

Step 1:

Sabse pahle aap Google Translate ke website par jaye. Website pe jane ke liye yaha click kare. .Ab apke samne translate website open ho jayegi.

Step 2:

  1. Ab left(baye) side ke option me English ko chune.
  2. Ab right(daaye) side ke option me Hindi ko chune.
  3. Ab aap english paragraph/sentence ko left side ke box me likhe/paste kare/
  4. Ab Translate button pe click kare.
  5.  Translate par click karte hi right side me aapko hindi me uska meaning(anuvaad) dikh jayegi.
Translate English To Hindi

Mobile Par English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare?

Mobile par bhi aap translate kar sakte hai iske liye aapko Google Translate application ko apne mobile me install karna hota hai.

Steps:

  1. Sabse pahle aap playstore pe jaye , jane ke liye click kare.
  2. Ab search box me Google translate likhe aur search icon pe click kare.
  3. Ab google translate ka page load ho jayega install button pe click kare. Click karte hi app install ho jayegi.
  4. Ab aap apne app ko open kar kisi bhi english paragraph ko hindi me likh/bol kar translate(anuvad) dekh/sun payenge.

Download Google Translate Mobile App

Offline English Ko Hindi Me Translate Kaise Kare?

Offline me bhi english ko hindi me tralsate kar sakte hai aur suske liye bahut saare software hai jisse app free me download kar aap use kar sakte hai. Offline me translate karne ke liye yha click kare software download kare.

Dosto umeed karta hu aapko ache se pata chal gya hoga ki english ko hindi me kaise translate karte hai(English in Hindi Translate).

Agar aapka koi sawal ya sujhaw ho to comment kare. Agar ye post acha laga to isse jarur share kare.

पिछला लेखWebsite Ki Speed Kaise Check Kare
अगला लेखComputer Par Instagram Kaise Chalaye
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here