Maine pahle ke post me likha hua hai ki social media ki bahut saari website hai. Aaj is article me ham Instagram ke bare me janenge. Pahle se aap jante hai ki social networking website me Facebook, twitter bahut hi famous website hai aur inke users bhi bahut adhik hai. Jaise samay age badha raha hai naye naye social network website aa rahe hai. Aise hi ek new social networking website Instagram hai. Abhi tak dekha jaye to sabse acha features aur badhiya social networking website Facebook hai jo hame friends banane, message send karna, audio aur video apne friends ke sath share karna, friends ke sath chat karna etc. features provide karti hai aur sabse achi baat ye hai ki hamesha kuch na kuch update karte rehti hai(yani ki nya features jodte rehti hai).
Sabse pahle orkut naam ki social networking site bahut use hoti thi aur aaj sabse jyada Facebook use hoti hai. Badlte samay ke anusar social networking site ki popularity aur user bhi badal gaye hai. Aaj ham baat kar rahe hai Instagram ke baare me ye ek naya ubharta hua social site hai jiski popularity India me teji se badh rahi hai. Aise me bahut sare aise facebook aur twitter ke user hai jo janana chate hai ki Instagram kya hai aur iske kya feature hai. Aaye ham sabse pahle Instagram kya hai ke baare me vistaar rup se jaante hai.
Instagram Kya Hai?
Instagram ek Social Networking website hai jis par aap apni photos, message ya video upload kar ke apne friends ya followers ke sath share sakte hai. Instagram ko basically mobile me use karne ke liye banaya gaya hai .Aap isse dekstop me bhi use kar sakte hai lekin photo aur video upload karne ke liye aapko third party website ka use karna hota hai.
Instagram ko 6 october 2010 ko Kevin Systrom aur Mike Krieger ke dwara shuruat ki gayi thi. Instagram ko sabhi tarah ke smart phone me use ho sakei aisa application bnaya gya hai chahe vo android, windows ya fir ios operating system vali phone ho. Instagram filhaal 33 language(bhasha) me uplabdh hai.
Instagram Par Account Kaise Banaye ?
Instgram par account banana bahut hi asaan hai iske liye aap hamare dwara bataye gaye simple steps ko follow kare.
Steps:
Step 1.
Sabse pahle instagram.com website pe jaye.
Step 2.
Ab website pe jaane ke baad signup form ko bharna hota hai.
- Apni mobile number/email id likhe.
- Apna Full Name likhe.
- Apna account ke liye username likhe.
- Password likhe.
- Ab Signup button click karte hai.
Step 3.
Ab jo email aapne diya hai usse open kare aur instgram se gaye hue mail ko open kare verification link pe click kare.
Step 4.
Ab aapka Instagram par account ban gaya hai. Ab ek new page page open hoga isme aap apna profile pic choose kare au upload kar le.
Ab aapka instagram account bilkul puri se complete ho gya hai . Ab aap apne mobile me isse login kar sakte hai aur apni photos,videos ya mesaage share kar sakte hai.