Hello friends aaj ham janenge ki Gmail ka background colour(theme) kaise change karte hai. Jyada tar mobile(android) aur computer user ke paas gmail ki email ID bana hua hoga. Email Id internet user ke liye bahut jaruri hai. Agar aapke pas gmail ki email id nahi to jan lijiye ki gmail ki email id kaise bnate hai. Andoid phone me application download karne ke liye ya fir communicate karne ke liye gmail account ki jarurat hoti hai.
Jab koi user computer use karte hai to file send karne ke liye, document send karne ke liye, ya fir media file send karne ke liye unhe gmail account ki jarurat hoti hai. Dosto aapko short me ye pata chal gaya hoga ki gmail email id kyun jaruri hai aur kis liye use karte hai. Aaye ab ham apne main topic pe aate hai aur jante hai ki gmail ka background theme kaise change karte hai. Theme change karne ke liye aap hamre dwara bataye gaye simple steps ko follow kare.
Step 1:
Sabse pahle aap gmail.com pe jaye.
Step 2:
- Apni email id likhe.
- Apni Gmail ki id ka password likhe.
- Login button pe click kare.
Step 3:
Ab aap apne gmail account me login ho jayenge.
- Ab right side me gear vale symbol/icon pe click kare.
- Themes pe click kare.
Step 4:
Ab ek popup open ho jayega jisme theme ki list dikhegi.
- Aap jis theme ko set karna chahte hai us par click kare.
- Save button pe click kare.
Ab aapke gmail ka background theme change ho jayegi. Agar aapka iss article se juda koi bhi question ho to aap comment kare.