Agar aap blogging field se jure hai ya fir programming se to aise me WordPress ke bare me achhe se jante honge. Pehle ke tutorial me mei aapne padha hoga ki WordPress plugin kya hai.Aaj is lekh me aap janenge ki WordPress me Plugin kaise intall karte hai.
Plugin ka istemal hum apne wordpress site me koi naya feature ko jorne ya fir pehle se di gayi feature me kuch badlav karne ke liye karte hai. Aaaye jante hai ki wordpress ki site me plugin kaise install kiya jata hai kaise activate kiya jata hai.
WordPress site me plugin install karne ke liye kai tarike hai jisse apna naya plugin add kar sakte hai sable pahel me asaan tarika bata raha hai.
Steps
Sabse pahle apne WordPress admin me username aur password se login kare.
Ab baye side me diye gaye Plugins option par click kare.
Ab Add New par click kare.
Ab search me Plugin ka naam likhe jisse aap install karna chahte hai.
Ab plugin ke samane diye gaye Install Now button par click kare.
Ab Activate button par click kare.
Ab aapke wordpress me plugin install ho chuka hai aur aap iska istemal kar sakte hai.