Namskar dosto ham sabhi jante hai ki achhi jindagi jine ke liye insaan ko jindagi me paise ki kitni jarurat hai . Ham sab paise ki ahmiyat ache se samjhte hai aur ye bhi jaaante hi paisa kamana itna bhi assan nhi hota.
Aaj is post me mai bataunga ki internet se online paise kaise kamaye.
Agar aap bhi internet ke jariye online paisa kamana chahte hai to aap is article ko achche se padhe aur paise kaise kamaye ghar baithe ye jane.
Duniya me paise kamne ke bahut saare tarike hai unhi tariko me se ek tarika hai online paisa kamana. Is post ki madad se aap ye jaan payenge ki bina naukri ke online paise kaise kamaye ja sakte hai.
Kya Online Kaam Kar Ke Paisa Kama Sakte Hai ?
Dosto ham sabhi ke man ye sawal rehta hai kya online kaam kar ke paise kamaya ja sakta hai ? ye sach hai ya nahi ?Ji haa ye bilkul sach ki online paisa kamaya ja sakta hai. Bahut saare aise log hai jo online kaam kar ke lakho rupay kama rha hai aaj ke samay me.
Mai jis tarike ke baare me baat kar rha hu wo bilkul hi sahi aur genuine tarika hai jiske ki aap online internet ke jariye ghar baith kar paise kama sakte hai. Ye bilkul legal tarika hai aur isse paise kamane me koi anya tarah ki tension lene wali baat nhi hai. Jaise aur tariko se paise kamane ke liye mehnat kara hota hai vaise hi isme bhi ache se mehnat karna hota hai.
Is tarike ke jariye har age ka banda paise kama sakta hai chahae vo 12 saal ka ladka ho, 37 year ki house wife ho ya fir 75 year old age person ho. Is tarke me koi age ki limitations nahi hai.
Online Ghar Baithe Paise Kamane Ke Assan Tarike
To aaye jaante hai online internet ke jariye kin kin traiko se paisa kamaya ja sakta hai.
-
Blog Se Paise Kamaye
Paisa kamane ke sabhi tariko me se sabse best tarika blogging haim. Iske jariye paise kamane ke liye sabse pahle aapb blog bnane ki jarurat hoti hai. Blog bana kar ache post likh kar us pe publish kare aur blog ka SEO kare.
SEO ki madad se hamara blog search engine me dikh pata hai. Jaise ki agar aap blog cooking ke baare me hai aur aapne post likha chay kaise bnaye aur aapne blog ki SEO kiya hoga to koi bhi internet user Google, yahoo ya bing me chay kaise bnaye keyword search karega to aapka post search result me aa jayegi aur usse apke blog pe visitors ayenge. Jitne jyada vistitors aapke blog pe aayenge untna jyada ads pe click badhne ka chance rehta hai jisse aap ki income jyada hoti hai.
Blog aap kisi bhi topic pe likh skate hai jisme aapko sabse jayada interest ho. Shuruat ke din me aap blogspot par blog bana kar apna career start kar sakte hai aur adsense ke jariye paise kama sakte hai.
Blog likhne ke liye kuch topic ke naam
Technology
Product Review
Singing
Internet
How to
Story writing
Shayari
Cooking
etc
Blog se income karne ke liye us pe ads lagana hota hai. Bahut sare advertisement publisher website hai jo hame blog pe ads lagane ke liye allow karti hai. Unke ads lagaye aur jab visitor aap ke site pe aate hai aur us ads pe click karte hai to aapko us click ke paise milte hai.
Blog Kaise Banaye
Blogging karne ke liye aap apne interest ke baare me jaane aur soche ki aapka mann sabse jayada kis topic aur field me hai aur us se related blog bnaye aur post likhe. Koi bhi insaan jab apne inerest ka kaam karta hai to usme vo bhut acha kar paata hai.
Blog par advertise lagane ke liye bahut sare advertisement publisher website hai jinme se kuch important hai jinke naam yha mai likh raha hu.
Google adsense (Google Adsense Account Kaise Banaye)
Bidvertiser
Infolinks
Chitika etc.
Insabhi publisher me sabse achha adsense hai jo sabse jyada paisa deti hai . Aap is par account bana kar apne blog pe ads laga sakte hai aur income kar sakte hai.
-
Youtube Par Video Upload Kar Ke Paise Kamaye:
Dosto mai pahle bilkul nhi janta tha ki youtube ke jariye paise kamaya ja skata hai mai kabhi jarurat hone pe koi video dekha karta tha. Aaj mai aapko ek achi bataunga raha hu yadi aap online paisa kamana chahte hai YouTube ek bahut accha yu kahe sabse achha option hai jispe aap video bna kar upload kar sakte hai. Agar aapne youtube pe video dekha hoga to kabhi aapko dekhne ko mila hoga ki bich me advertisement dikhta rehta hai us ads ke jariye income hota hai.
Note : Dyan rakhna hai video original hona chahiye kisi ki copy upload na kare.
Aap video kisi bhi topic se related bna sakte hai jaise ki
- Internet ke baare me (Internet guide pe video bana kar upload karna)
- Tutorial (Padhai se juri jankari ki video bana kar upload karna)
- Khana kaise bnaya jata hai (cooking)
- Health tips (Health tips video bana kar upload karna)
- Comedy (Funny video bana kar upload karna)
- Singing (gana ga kar video upload karna) etc
YouTube se Paise Kamane Ke Tarike
- Sabse pahle apna pasandida topic chun le.
- Ab aap youtube par ek channel banaye aur us topic se related naam de.
- Ab aap us topic se related video bna kar upload karna shuru kare.
- Ab Youtube me login kar monetisation option ko active kare.
- Ab aap apne youtube channel ko Adsense account se jode(Agar aap ke AdSense account nahi hai to bana le).
- Ab aapke youtube ki har mahine ki income adsense account me add ho jayega. Aap is income ko apne bank account me direct pa sakte hai.
Dosto ab tak aap samajh gaye honge ki youtube ke jariye online paise kamana kitna asaan hai.
-
Online Saman Sell(Bech) Kar Ke Paise Kamaye:
Aap online Website ke jariye saman sell kar ke bhi paise kama sakte hai. Aapne flipkart m,snapdeal,molxm,m amazon etc ka naam suna hoga ye sabhi website pe online samn bikta hai. Ye sites ek tarah ka marketplace hai jispe aap bhi apna samn upload kar ke bech sakte hai ,m jab aapka saman sell ho jata hai tab ye sites aapko paisa pay karti hai.
-
Affiliate Marketing Se Paise Kamaye:
Affiliate Marketing ek tarah ka parayas hai jiske jariye badi comapny ke partner ban sakte hai.
Assan shabdo me kahe to to isme aap company ke product ko apne blog ya website pe show karte hai aur yadi wah product sell ho jati hai to company apko commission deti hai.
Bahut sari company hai jis par aap register kar apna affiliate account bana sakte hai. Ye company aapko apne products ki link aur banner provide karti jise aap apne website pe add karte hai aur wo prouct apke blog pe dikhne lagta hai.
Jab koi vistitors aapke site ko visit karenge aur wo us product ke link ya banner pe click kar ke usse kharidenge to company aapko us product ke selling pe kuch % commission deti hai.
-
EBook Likh Ke Paise Kamaye:
Ab samay aisa aa gya hai ki book paper pe hi nhi balki PDF ke form me bhi maujud jise ham apne laptopm,mcomputer ya mobile me rakh kar bhi padh sakte hai PDF ke form me likhi gayi book ko hi ham Ebook kehte hai. Agar aapko kisi bhi topic pe likhna acha lagta hai aap apna jankari MS-word me likh kar usse PDF me badal (convert) kar sakte hai. Aur aapke dwara likhi gayi jankari book ke taur pe ready ho jayegi isse aap online book sell karne wale site pe upload kar ke paise kama sakte hai.
ब्लॉग से पैसे कमाने के 8 तरीके
Dosto umeed karta hu ki ye post padh kar aapko ye pata chal gya hoga ki India mein online paise kaise kamaye ja sakte hai. Aap internet ka use kar ke is jankari ki madad se online income kar sakte hai.
Is tarah ke aur achee aur useful article padhne ke liye hamare blog ko subscribe kijiye.
Agar ye post acha laga to aap apne friends ke sath share kare.
Aape blog ka design kaphi achha hai. Aur aapne kaphi achha post likha hai. Aise hi likhte rahiye.
Thanks. Koshish rahegi.