WhatsApp Font Size: Dosto jaisa ki hum jante h ki WhatsApp ek famous messaging app hai. Whatsapp me kamal ke features hai. Whatsapp se hum apne friend se na sirf chat bhi karte pate hai balki audio,video call kar sakte hai message bhi bhej skate hai.
Whatsapp se jab hum apne friend se chat karte h to chate h ki hamara font Style kuch different ho.Whatsapp me text ko hum Small, Medium, Large Bold, Italic karne ka feature diya hua hai.
Agar aap apne WhatsApp ke Font Size ko Large, Small, Bold ya Italic karne chahte hai to aap niche diye gaye step ko dhyan se padhe, iske liye alag se App download karne ki jarurat nahi hota hai.
Whatsapp Font Size ko change karna bahut hi asan hai. To aaiye jante hai ki WhatsApp Font Size Kaise Change karte hai. Is ke liye niche diye gaye step ko follow kare.
Read:
WhatsApp Font Size Change Kaise Kare
Step 1. Sabse pahle aap apne mobile me WhatsApp application ko open kar to upar aap ke mobile Ke right side “3 Dot” honge us ko click kare. Niche pic me dekhe.
Step 2. 3 Dot click karne ke baad ek New page open hoga Us me “Settings” ko click kare. Niche ke pic me dekhe.
Step 3. Settings click karne ke baad fir ek page open hoga Us me “Chats” par click kare. Niche ke pic me dekh sakte h
Step 4. Chast klick karne ke baad “Font Size” ko click kare
Step 5. Font Size click karne ke baad aap ke samane 3 Option Small, Medium, Large honge aap in me se jisko chahte hai usko click kare. Is tarah se aap ka Whatsapp Font change ho jata H. Niche Ke pic me dekh skte h.
Bold :- Whatsapp me kisi bhi Text message ko Bold karne ke liye likhe huye word ya sentence ke pahle star (*) or baad me star (*) add kar de. To aap dekhenge ki aapka simple text bold ho gaya hai.
Italic :- Whatsapp me kisi bhi text message ko italic karne ke liye likhe huye word ya sentence ke pahle Underscore ( _ ) or baad me Underscore (_) add kar de. To aap dekhenge ki aapka simple text italic ho gaya h.
Strikethrough :- Whatsapp me kisi bhi text message ko strikethrough karne ke liye likhe huye word ya sentence ke pahle or baad me tilde ( ~ ) add kar de. To aap dekhenge ki aapka simple text strikethrough ho gaya hai. Niche ke me aap dekh sakte hai.
Example:
*Hindiblog4u.in* => Hindiblog4u.in
_Hindiblog4u.in_ => Hindiblog4u.in
~Hindiblog4u.in~ => Hindiblog4u.in