Free Blog Kaise Banaye (Full Guide in Hindi)

2

Aaj ke is lekh mein hum apko batane wale hai ki blog kaise banaye vo bhi bilkul free me.

Sabse pahle mai aap sabhi se ye jaankari share karna chahta hu ki blogger Google company ki ek free service hai matlab iska koi charge nhi lagta hai.

Isse koi bhi person free me use kar sakta hai. Google ki blogger service free me website aur blog banane ke liye hai. Ji ha aap ispe apna website ya blog free me bana sakte hai.

Aksar hamare pathko ka ye sawal aata rehta hai ki Blog kaise banaye iski jankari bataye. Isliye humne ek post likha jisme website kaise banaye google par iski jankari step by step bata sake.

Aaj ke is lekh me aap janege ki free me blog kaise banaya jata hai.

Blogger Par Free Website Ya blog Kaise Banaye

Blogger Par Free Blog Banane Ke Liye Kya Chahiye

Blogger pe website/blog banane ke liye sabse jaruri hota hai gmail ka account hona. Gmail id aur password se login kar ke aap blogger service ka upyog kar sakte hai website banane ke liye.

Free Me Blog Kaise Banaye in Hindi 

Agar aap ke paas gmail account nhi to pehle gmail account banaye athva agar hai to aap blogger ki site pe jaane ke liye yha is link pe click kare

Ab aap apne gmail id aur password se login kare. Uske baas blogger ka page open hoga. Jaise ki aap niche dikhaye gaye image bhi dekh sakte hai.

Blogger Par Free Website Ya blog Kaise Banaye

Ab aap New Blog Button pe click kare. Iske baad ek popup open hoga screen pe.

Blogger Par Free Website Ya blog Kaise Banaye

upar dikhaye gaye image me aapko 4 steps dikhenege jiske baare me detail me jaanege.

Step I : Sabse upar dikhye gaye input box(Step I) me apne website/blog ka title likhe. Aap apna manpasand title choose karke like jiase jis topic se related blog ho aapki usse juri hui relevant title likhe.

Step II : Is step me aap apne website/blog ka web address OR URL likhe. Koi user aapke blog ko isi web address ke jariye use karta hjai. Jaise ki mere blog ka web address hai  phpcluster.blogspot.in aur log me blog ko is url ke jariye open karte hai. Aap ko vhi URL milega jo avi tak kisi ne use nhi kiya ho ..to koi achaa sa address soch kar apne blog ke liye likhe.

Step III : Iske baad aap apne blog ke liye koi template select kare jo bhi aapko acha lagta hai diye gaye options me se.

Step IV : Ye last step hai. Isme aap Create blog! button pe lick kare. Aur is tarah se aapki blog blogger pe create ho jayegi.

Apne blog ko dekhne ke liye apne jo address or URL diya usse browser me open kare. Upar diye gaye steps ko use karke blogger pe aap free me website ya blog bana sakte hai.

वर्डप्रेस ब्लॉग (WordPress Blog) कैसे बनाये : [पूरी जानकारी 2019]

Is lekh me apne sikha ki blogger platform free me blog kaise banate hai, Google par website kaise banaye in hindi.

Blogger se juri hui koi anya jankari ke liye apna comment kripya comment box me likhe. Agar yeh post acha laga to please isse share kare.

पिछला लेखBlogger Me First Post Kaise Likhe
अगला लेखFacebook Fan Page Kya Hai Isse Kaise Banaye
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

2 टिप्पणियाँ

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here