Backlink Kya Hai Aur Backlink Kaise Banaye

1

Backlink Search Engine Optimization me sabse jyada use hone wale shabdo me se ek hai. Jo pahle se hi Blogging ke field me hai unhe Backlink ke bare me pata hoga or jo is field me naye hai or apne naye Blogs ki shuruaat kar rahe hai unhe Backlinks ke bare me janana bahut hi jaruri hai jaise ki backlink kya hai aur backlink kaise banaye.

Kyuki Blogging me success hone ke liye aapko search engine se achha traffic milana bahut hi jaruri hota hai aur Search Engine se achha traffic pane ke liye aapko Backlink ki jarut padti hai.

Isliye Backlink ke bare me aapko puri jankari honi chahiye. Aap Blacklink ki madad se apne blog ko search engine me top position par la sakte hai.

Backlink kya hai और Backlink kaise banaye

Isliye aaj humlog Backlink ke bare me janenge ki Backlink kya hota hai.

Backlink Kya Hai?

Backlink ek aisa link hota hai jo kisi bhi dusre Website se humare Website tak jane ka rasta banta hai. Agar kisi bhi dusre website par aapke Blog ya Website ka link hai or koi Visitor us link par click karke aapke website ya blog par aata hai tab aapke site ko us ki site se Backlink milta hai.

Jab aap apne sites ka links kisi dusre ke website par add karte hai to us sites par diye gaye aapke site ka link backlink kehlata hai. Dhire dhire isase aapke site me visitors badhane lagte hai aur apka Website Search Engine me top rank par aane lagta hai. Jo link hum dusre ke site par add karte hai isi ko hum Backlink kehte hai.

Dusre sabdo me hum kah sakte hai ki Backlink un link ko kahte hai  jin par click karke koi visitor kisi dusre Site ya Blog se aapke Site par aate hai.

Backlinks Se Jure Kuch Important Terms

Link Juice :  Jab aapke site ka link kisi dusre webpage par diya gaya rehta hai to vo link juice pass karta hai. Is link juice se aapke site post ki search engine rank badhti hai sath hi DA bhi acha hota hai. Agar aapke site par kisi dusre ka site link hai aur aap link juice nahi pass karna chahte hai to aap nofollow tag ka use kare.

Do follow link: Jab aap kisi bhi blog post me koi link add karte hai to vo dofollow link hi hota hai aur yeh link juice pass karta hai.

No follow link: Jab kisi site par dusre site ka link diya jaye par usme nofollow tag add ho to vo link no follow link hota hai aur yeh link juice nahi pass karta hai.

Internal Links: Jab aapke apne website ke kisi ek page me apne hi website ke kisi dusre page ka link diya jaye to vo internal link hota hai.

Backlink Kitne Prakar Ke Hote Hai?

Backlink se website ki traffic badhane aur page rank badhane me kafi madad milti hai. Isse mainly 2 types me divide kiya gaya hai.

Inbound links:  Jab aap kisi dusre ke site par apne website ka link add karte hai.(Getting links from other websites to your website)

eg:

Dusre website(aapke site ka link)                                    redirect to aapki website

Outbound links:  Jab aapke website par kisi aur ke site ka link add kiya jaye to isse outbound link kehte hai.(Giving links to other websites)

eg:

aapka website(dusre website ka link)                               redirect to dusre website

Note: Aapke jankari ke liye bata de ki inbound link ko hi generally backlink kaha jata hai.

Fir se inbound link ko 2 type me divide kiya gaya hai No follow Backlinks and Do follow Backlinks

No follow Backlinks: No follow links ek aisa backlinks jo aapke website ke liye link juice pass nahi karta hai. No follow backlinks banane se apke website ko ke liye khaas fayda nahi hota hai.

<a href=”http://www.phpcluster.com/” rel=”nofollow”>PHPCluster</a>

Do follow Backlinks: Do follow links ek aisa backlinks jo aapke website ke liye link juice pass karta hai. Do follow backlink banane se website ki search engine ranking achhi hoti hai aur ye isse SEO me bahut fayda hota hai.

<a href=”http://www.phpcluster.com/”>PHPCluster</a>

LSI Keywords Kya Hai Iska Use Kar Traffic Kaise Boost Kare

Backlink Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai?

Har search engine blog ke seo ke liye kitne backlink hai usko importance deta hai. Blog ke SEO ke liye Backlink bahut jyada importance rakhta hai kyunki ye aapke blog ke domain authority aur page authority banane me madad karti hai jisse blog ke search engine ranking improve hoti hai.

Blog ke liye Backlink jyada se jyada bnana chahiye kyunki isse aapka blog search engine result me top par aata hai jisse achhi traffic milti hai.

Backlink Kaise Banaye?

Backlink bnane ke liye aapko kuch tarike follow karna hota hai. Aap backlink banane ke liye niche diye tarike ko follow kare.

Directory Submission
Blog ko online directory site par submit karne se bahut hi achha aur strong backlink banta hai. Online directory submission site ka page authority aur domain authority bahut achaa hota hai aur yaha par aap apne site ka link submit karte hai to aap high quality backlink milta hai.

Blog Commenting
Aap apne blog type ke similar blog ke article par comment kar bhi quality backlink bana sakte hai aur ye asaan bhi hai. Aur us blog se aapke blog par bhi log padhne aate hai.

Guest Blogging
Aap blog article likh kar kisi high traffic blog par guest posting kar kar sath me apne author detail me apne blog ka link mention kar backlink create kar sakte hai. Isse aapke blog par jald hi achhi traffic aane lagti hai.

Is article me aapne sikha ki backink kya hai , kitne type ka hota hai backlink blog SEO ke liye kyun jaruri hai aur backlink kaise banate hai. Backlink se juda koi sawal ya sujav ho to comment kar bataye.

पिछला लेखInstagram Se Paise Kaise Kamaye 2022
अगला लेख10000 रुपये से कम कीमत में Best Budget Smartphones in India 2022
Verman Babu
वर्मन बाबू एक professional blogger है | ये Blogging, SEO, Affiliate Marketing, Make money online, Internet, BlogSpot, WordPress, Computer-related tips, How to guides, Email marketing, Social media, Tips, and tricks इत्यादि से रिलेटेड article लिखते है | नयी चीज़ के बारे में जानना सोचना और Blogging के द्वारा अपनी जानकारी सबके साथ शेयर करना इन्हें अच्छा लगता है |

1 COMMENT

उत्तर छोड़ दें

Please enter your comment!
Please enter your name here